Khush hone ki wajah kaun nahi dhondhta es jahaan mein
Dosti aur mohabbat par to ilzaam lagte aaye hai sadiyon se
Sabke Khush hone ki wajah banate aaye hain hum
lagne waale har ilzaam ko dil me chippate aaye hain hum
Khush hone ki wajah kaun nahi dhondhta es jahaan mein
Dosti aur mohabbat par to ilzaam lagte aaye hai sadiyon se
Woh dil mein rahata hai dilbar mera
Ankhon mein basi uski tasveer hai
Kaun badal paya hai waqt ka faisla
En hathon mein likhi uski taqdeer hai
Sabke Khush hone ki wajah banate aaye hain hum
lagne waale har ilzaam ko dil me chippate aaye hain hum
Meri Saanson me rehti hai jinki khushboo
In aankhon me basi unhi ki tasveer hai
Wo badelenge is jahan ka faisla
Jinke haathon me likhi ik dooje ki taqdeer hai
Apne dil pe ilzaam rakhkar bhi khushiyan bhikherate ho
Soch lo khuda ki bhi nazar lag sakti hai aise insaan ko
Meri Saanson me rehti hai jinki khushboo
In aankhon me basi unhi ki tasveer hai
Wo badelenge is jahan ka faisla
Jinke haathon me likhi ik dooje ki taqdeer hai
Hum ne Khushiyaan bikheri hain Ilzaam ki parwaah na karke
Nazar kia lagegi us khuda ki,jisne humse ye khushiyaan udaar li hain
Un saanso mein basi jo khushboo hai
Woh zindagi jeene ka matlab lagti hai
Hathon ki lakeeren hi karengi ab faisla
Kiski zindagi ab kiska sabab lagti hai
Jab ye saanse mehkati hain uske naam se
To meri ye zindagi unki amaanat lagti hai
Ye haath hain to inpe lakeeren bani
In Lakeeron ko bhi hui unhi se Mohabbat lagti hai
Jab ye saanse mehkati hain uske naam se
To meri ye zindagi unki amaanat lagti hai
Ye haath hain to inpe lakeeren bani
In Lakeeron ko bhi hui unhi se Mohabbat lagti hai
Woh khuda bhi agar aapse khuashiyan udhaar leta hai
Kahin aisa to nahin ki apne aap ko khuda samajh baithe
En saanso mein basaa hai naam jiska
Ye zindagi uski hansi par kurbaan hai
En haathon mein likhi hai jiski taqdeer
Woh chehra mere labon ki muskaan hai
En saanso mein basaa hai naam jiska
Ye zindagi uski hansi par kurbaan hai
En haathon mein likhi hai jiski taqdeer
Woh chehra mere labon ki muskaan hai
Har koi gammon ke Khuda bana baitha hain is matlabi duniya me
Khushiyan bhikherane waalon pe aaj ungaliyaan uthaai hain Khuda keh kar
Hansi rahe sada in honto pe ye unka armaan hai
Har waqt mere honto pe rehta unka hi naam hai
Hum khud likhenge in haathon pe taqdeer unki
Unka chehra hi ab meri bani nayee pehchaan hai
Matlabi duniyan mein gum hi dete hain log
Bus ek khuda hi hai jo khushiyan deta hai
Us ek khuda ne sabko yahan ek si Khushiyaan di hain
Najaane unme bhi log gammo ko kyun doondate hain
Itni khushiyan mat bikhero ab tum dono
Ki Neelam ki aakhein bhar aayen khushi ke aansuon se
Tum dono ki iss shayari pe ye dil kurbaan
Mujhse bhi jyada khushiyan milen, iss dil ka hai ye armaan
Aaj kaisa jaadoo chaa gaya hai
Eik meetha sa ahsaas jaga gaya hai
Roke ruke nahin rukta ye dil ab
Tarang main bah jaane ka mann karta hai
Panchhi ki tarah hawa main udd ke sabko batane ka mann karta hai
Khushiyan kaisi hoti hain aaj sabko dikahne ka mann karta hai
We use essential cookies to make this site work, and optional cookies to enhance your experience.