Wafa aur mohabbat

Status
Not open for further replies.
jo vo bedard h to kyu aap onse dillagi kar baithe
he jiske dil me insaniyat ka nahi jazba ap kyu onko khuda bana baithe
Lafzon mein kya bayaan karega koi mohabbat ko
Jiske bedard dil mein kisi ke liye bhi apnaayat nahin
Kab tak khelta rahega yahan koi dusron ki zindagi se
Kaun bharosha kare yahan jinme koi insaaniyat nahin
 
mohabat se jo hota liyakat ka rishta
to laila majnoo ki diwani na hoti
mohbbat to sab hi karte h ye apki koi malkiyat nahi
itna aham bhare log mohbaat ki batte hi kar sakte h
haqqeqat me ashiq hota nahi
Aap jo aadhe lafzo me adhuri baatein bayaan karte hain
Is tarah lafzo se khelne waale kabhi pyaar nahi kiya karte
Ye ghadiyon ki Mohabbat to sadiyon tak zinda rehti hai
Bewajah ilzaam lagane waalo pe ye log vishvas nahi kiya karte

Jo aaj humari is Mohabbat ko chalawa samajh rahe hain
Dhai akshar prem ke keh kar kehte hain ki lafzo ki zarurat nahi
Liyaakat kisi insaan ki nazar aa hi jaati hai unke lafzo se
Jo Mohabbat na samjh paaye hume unki naseehat ki zarurat nahi
 
jo vo bedard h to kyu aap onse dillagi kar baithe
he jiske dil me insaniyat ka nahi jazba ap kyu onko khuda bana baithe


Agar humen pata hota ki woh bedard hain
To unse dil lagane ki bhool hum kabhi na karte
Unko to dhokha de rahen hain unke apne hi
Kaash woh logon ki pehchan me galti na karte
 
mohabat se jo hota liyakat ka rishta
to laila majnoo ki diwani na hoti
mohbbat to sab hi karte h ye apki koi malkiyat nahi
itna aham bhare log mohbaat ki batte hi kar sakte h
haqqeqat me ashiq hota nahi


Ab haqeeqat ki baatein karte hain wo
Jo Mohabbat kisi ko apne lafzo se na de sake
Misaal dete aaye hain Zinda Mohabbaton ki jo
Kyun wo kabhi apne pyaar ki misaal na de sake

 
mohabat se jo hota liyakat ka rishta
to laila majnoo ki diwani na hoti
mohbbat to sab hi karte h ye apki koi malkiyat nahi
itna aham bhare log mohbaat ki batte hi kar sakte h
haqqeqat me ashiq hota nahi


Mohabbat to har insaan ki liyaakat hi hoti hai
Laila Majnoo to bus kitaabon ki baaten hai
Mohabbat karne waalon mein aham hota hai
Lekin woh kya jaane jo apno ko sataate hain
 
Last edited:
Bhagwan ye lambi julfen di hain, kisi ko unmein chupane ke liye
Palken banayi usse sharm-haya jatane ke liye
Diwane to khud ghayal hona chahte hain inn adaon pe
Ye jheel si aankein banayi apne humdum ko madhoshi mein dubane ke liye


Dil karta hai teri julfon ki ghani chhaanv me kho jaaoon
Teri een jhooki palkon tale apnaa ashiyaan banaaoon
chhookar tujhe chhoo loon tere man ke har taar taar ko
Or teri aankhon ke raaste tere dil me utar jaaoon
 
Last edited:
very nice Neelam...

Aaj pahli baar uske naam ke saath apna naam paya
Chahe koi bahana banke inn aankhon ke saamne aaya
Dil ne uss tamam khushi ka ek hissa hai paya
Dua karti hun jald hi wo aage chal ke bane mera saaya

Saayaa bhi saath chhod deta hai andhere me
Jeevan ki hakikat or afsanon me fark hota hai.
 
Last edited:
wah neelam really nice
ur poetry is gettting better day by day


Ye taarife kaabil shabd to sirf uss ke liye hain
Jiske saath ne mujhe itna sab kuch sikhaya hai
Ye uss saathi ki wafa aur mohabbat ke asar hi hain
Jis tarah mere shabdon ne dil ki baaton ko darshaya hai
 
Last edited:
Dil karta hai teri julfon ki ghani chhaanv me kho jaaoon
Teri een jhooki palkon tale apnaa ashiyaan banaaoon
chhookar tujhe chhoo loon tere man ke har taar taar ko
Or teri aankhon ke raaste tere dil me utar jaaoon


Meri aankhon mein sirf uska hi ghar banaungi
Kisi aur ko inn julfon tale na kabhi chhupaungi
Chhuna naa mere iss mann ko koi
Nahin to main khud hi jal jaaungi
Phir koi utrega kaise iss dil mein
Agar main jal ke rakh ban jaaungi
 
Ha Ha ha...Neelam meri lines to kissi or ki aadaoon par thi....:)

Viase tumne likha achcha hai...:) Combining them to make continuty

Lahraoge julfen to koi behosh ho jayegaa
jhookaoge palken to kissi ka chain jayegaa
Mat maro yoon dewanon ko apni adaaon se
koi en jheel si aankhon me doob jaayega

Dil karta hai teri julfon ki ghani chaavn me kho jaaoon
Teri een jhooki palkon tale apna aashiyaan banaaoon
chhookar tujhe choo loon tere man ke har taat taar ko
Or teri aankhon ke raaste tere dil me utar jaaoon.



Meri aankhon mein sirf uska hi ghar banaungi
Kisi aur ko inn julfon tale na kabhi chhupaungi
Chhuna naa mere iss mann ko koi
Nahin to main khud hi jal jaaungi
Phir koi utrega kaise iss dil mein
Agar main jal ke rakh ban jaaungi
 
Last edited:
vj where r you ur thread needs you.ake sambhal le.
na to ye wafa aur mohbbat se ada aur husan me convert hon ala h:) :) :)
 
Ha Ha ha...Neelam meri lines to kissi or ki aadaoon par thi....:)

Viase tumne likha achcha hai...:) Combining them to make continuty


hmmm....shamsher i know that you are a decent guy and i know you don't think like that but friend i just didn't wanted to see it like that from other person so written something from my side....hahaha...i think you got it now:)
 
I am always there on my 'Wafa aur Mohabbat'

vj where r you ur thread needs you.ake sambhal le.
na to ye wafa aur mohbbat se ada aur husan me convert hon ala h:) :) :)


Adaa aur husn ka jalwa karne waale kya jane wafa kya hai
Koi kya jane dil se nikalte hue zazbaaton ki ahamiyat kya hai
Kaash log dil se sochte 'apne' logo ke liye is duniyan mein
Dhikhawa karne waali un jhuthi baton mein ab rakha kya haI
 
Mohabbat to har insaan ki liyaakat hi hoti hai
Laila Majnoo to bus kitaabon ki baaten hai
Mohabbat karne waalon mein aham hota hai
Lekin woh kya jaane jo apno ko sataate hain

mohabbat ke miane.. bataye khoob aapne
laila majnoo ki kurbani.. kissa bataya aapne
mohabbat me jaan dene walo ko aap kitabi kehte hain
char line likh ke apne aap ko shayar bataya aapne
 
mohabbat ke miane.. bataye khoob aapne
laila majnoo ki kurbani.. kissa bataya aapne
mohabbat me jaan dene walo ko aap kitabi kehte hain
char line likh ke apne aap ko shayar bataya aapne


Jisne Laila Majnoo ka jikar kiya unko pehchaante hain
Kisne jaan di thi mohabbat mein hum ye sab jaante hain
Char line dil se likhna yahan aapko koi khel lagta hoga
Kiski shaayari mein kitni sachhai hai ye sab jaante hai
 
vj where r you ur thread needs you.ake sambhal le.
na to ye wafa aur mohbbat se ada aur husan me convert hon ala h:) :) :)


Ye dhaga to wafa aur mohabbat ka hi hai
Bas likhne ka har shabd badalta rahega
Har uss shabd mein kahin na kahin mohabbat hogi
Aur ye yun hi prem dhaga aage badhta rahega
Koi laakh kare koshish kisi ki galat pehchan banane ki
Lakin uski sacchai har insaan khud pehchanta rahega
Log baaten juthi karke idhar se udhar karte hain
Aise logon ko bhi ye zamana har kadam pe samajhta rahega
 
Last edited:
Adaa aur husn ka jalwa karne waale kya jane wafa kya hai
Koi kya jane dil se nikalte hue zazbaaton ki ahamiyat kya hai
Kaash log dil se sochte 'apne' logo ke liye is duniyan mein
Dhikhawa karne waali un jhuthi baton mein ab rakha kya haI


Wafa kisi ke saath karne waale apne husn ke jalwe dikahte nahin
Jo ye jalwe dikhake juthe waade karte the peeche chupe us fareb ko samjho
Apnon ke liye apnon se jyada koi iss duniya mein sochta nahin
Jo dikhawa karen baaton se apni tum unki tarah har ek ko mat samjho

 
mohabbat ke miane.. bataye khoob aapne
laila majnoo ki kurbani.. kissa bataya aapne
mohabbat me jaan dene walo ko aap kitabi kehte hain
char line likh ke apne aap ko shayar bataya aapne

Mohabbat kya hai kisi ki maang mein sindoor bharkar dekho
Yun likh ke tum bhi apne aap ko shayar na samjho
Shayari kya hoti hai ise dhang se samajhne ke liye
Taane maarne se pahle kisi ke dil pe beeti har baat ko samjho


 
Status
Not open for further replies.
Back
Top