Wafa aur mohabbat

Status
Not open for further replies.
dat ja tu malik

bin shama ko dekh jo aag me kudoge
to soch lo parvane tumhara kya hoga hal
humne to khar os chand ko hi dekha
bus jiske humko banana tha chandni
chakor bano ya parvana nikelga to dum har hal
ek ban ke pyase mar jaoge duja ban jaoge aag me jal

Kya baat hai...

yahan husnwale hi husan ki baaton se katraate hain
enko kya pata parvaane to aate hain shamma ki aur
dekhi hai shayad aapne bhi us chand ki mohak chandni
Jiski chaahat me mar jaate hain jaane kitne chakor
 
Yoon adaa se chalkar saamne aayaa hai koi
aankhon me bharkar chahat ka samandar
ahista ahista jhook gayee uski vo nazaren
Naa jaane kaisa ahsaas jagayaa usne mere andar

Ye adaayen hi to bus hamara dil loot kar le gai
Woh ankhiyon se dekhana aur palken jhukaana
Woh lab jo bina bole kah gaye dil ki jubaan ko
Ab kya koi shikhayega pyaar mein mit jaana
 
Ye adaayen hi to bus hamara dil loot kar le gai
Woh ankhiyon se dekhana aur palken jhukaana
Woh lab jo bina bole kah gaye dil ki jubaan ko
Ab kya koi shikhayega pyaar mein mit jaana

Uski jhooki palkon par thahar gayee ankhiyan meri
hamen bhi intzaar tha unse nazaren milne ka
thode se unke lab hile phir nazar jhukti chali gayee
shayad unko intzaar tha ek baar hath pakdne ka
 
Uski jhooki palkon par thahar gayee ankhiyan meri
hamen bhi intzaar tha unse nazaren milne ka
thode se unke lab hile phir nazar jhukti chali gayee
shayad unko intzaar tha ek baar hath pakdne ka

Unki palken jhuki aur ye hamara dil gaya
Ek teer mohabbat ka dil ke paar nikal gaya
Kab tak hosh sambhaalenge raha nahin jaata
Aaj phir unko dekha har armaan machal gaya
 
One suggestion: Waise aap log DJM ke agenda main Mushaayra kyon nahi rakhte, its gonna be superhit with the shayars like you guys.., no kidding....:)
 
dat ja tu malik

bin shama ko dekh jo aag me kudoge
to soch lo parvane tumhara kya hoga hal
humne to khar os chand ko hi dekha
bus jiske humko banana tha chandni
chakor bano ya parvana nikelga to dum har hal
ek ban ke pyase mar jaoge duja ban jaoge aag me jal

Ye jeevan kya hai, eski antim ghadi to aani hai
Chahat me mar jaaye uski, aisi jindgi paani hai
main ban jaaoon chakor or vo chand ban jaaye,
Chakor ka chand se rishtaa main naa bhooloongaa
 
Last edited:
One suggestion: Waise aap log DJM ke agenda main Mushaayra kyon nahi rakhte, its gonna be superhit with the shayars like you guys.., no kidding....:)

Thanks Poonam...agar Seattle me kabhi JAT meet huyee to mushaayra jaroor hoga.
Lekin lagta hai door tak yahan JAT hain hi nahin.
 
Last edited:
Unki palken jhuki aur ye hamara dil gaya
Ek teer mohabbat ka dil ke paar nikal gaya
Kab tak hosh sambhaalenge raha nahin jaata
Aaj phir unko dekha har armaan machal gaya

Vo nazaron kaa teer tha yaa uske dil ki baaten
Vo kamp-kpate lab the yaa labon par aati baaten
kabhi usse nazaren milii to kabhi vo hilte lab dekhe
uthkar vo chale gaye esse pahle ki hum sambhal paate
 
Last edited:
Cont'ng above

Uska yoon ahista se uthkar jana bhi ek adaa thi
Tikki har nazar un par or mehfil javaan thi
Kaise kah paate vo aise me naadaan dil ki baat
Pass baitha uska Dada or uski Dadi bhi wahan thi.
 
har ek muskurahat... muskan nahi hoti
nafrat ho ya mohabbat aasan nahin hoti
aansu gham ke or khushi ke hain ek se hote
par uski pehchan aasan nahin hoti

Aaj mohabbat hui kisi se to ye hai jana
Tumhari inn baaton ko saccha maine mana
Magar hum uska dil chhu jaayen jo ek baar to
Gum aur khushi ko bhi asaan hota hai samajh pana
 
Na jaane kyon duniyan bus dusron ko dhekhti hai
Apne ander bhi to koi jhank kar to dekhee kabhi
Jo karte hain barbaad 'apno' ko es duniyan mein
Kya unhone apne aap par bhi woh soch parkhi kabhi

Iss duniya ki soch mein apna samay na vyartha karo
Har prakar ke logon se mulakat hogi yahan
Samajhke unke mann ki baat ko unse na bahas karo
Beet jaani hai zindagani yuhin, ise tum hans ke jee lo yahan
 
Woh kya taane denge mohabbat ke deewano ko
Jinki fitrat mein wafa ka naam tak nahin dhikhtaa
Kisi ko mil gaya hoga koi kuchh waqt ke liye yahan
Yakeen to tab ayegaa jab pyar asliyat nahin dhkhtaa

Taane deyen tumhe chahe laakhon koi
Khud par bharosa rakhna hamesha
Agar kisi aur ko milke wo khush hote hain
To dua karo ki wo un sang khush rahen hamesha
 
Es mohabbat ne bhi kyaa din dhikhaayen hain yahan
Bewafaai mein lut gaye kaise kare abaad humen koi
Hazzaron umeeden jaagti hai har ek pyari nigaah par
Es kadar pyaar se bhi ab na dekhaa kare humen koi

Luta hua tab janna khud ko
Jab na base tumhari duniya koi
Pyaar se kyun na dekhe hum usko
Uss saaf dil pe ab mar mita hai koi
 
laila majnu ka jikar to sadio se hota aya h
sacche ashiq to bus ek aap hi hue h
auro ko to aap sadak chap jaante h
itni hi pachan thi na jo logo ki aapko
tu kyu ye bewafi aur berukhi ke parche jatland pe chapte h.

Khud ko samjhadar soch logon ko bewkuf na samjho
Kaun kaisa hai itni to hamen bhi aaj pehchan hai
Kai baar sochke yun hoti hun main hairaan
Ki kisi ki hanste chehre se ye kyun pareshan hai
 
Last edited:
Rutha hai aaj aise mera dilbar
Kaise manaun usse batao koi
Uss bin kaise rahungi main
Zara iss dil ki halat samjho koi
Socha tha ki main ruthungi usse
Aur aake iss ruthe ko manayega wahi
Kabhi kya dekha hoga aisa tumne
Ki ladki manaye aur ladka usse ruthe koi
Ladki ruthe to baat samajh mein aaye
Ladka manaye aur nakhre uthaye kai
Ye nakhre to kya ruthna bhi mujhe aata nahin
Ab to dost zara mujhe bhi ye sab sikhao koi
 
Last edited:
Uski jhooki palkon par thahar gayee ankhiyan meri
hamen bhi intzaar tha unse nazaren milne ka
thode se unke lab hile phir nazar jhukti chali gayee
shayad unko intzaar tha ek baar hath pakdne ka

Ankhiyon se yun takoge jo ek takk
To palken uski kyun na jhukengi
Haath pakdoge jo uska
To dhadkane uski kyun na badhengi
Baatein to bahaut kahna chahe
Lakin ye sharm-haya kaise bolne dengi
 
Last edited:
Ye jeevan kya hai, eski antim ghadi to aani hai
Chahat me mar jaaye uski, aisi jindgi paani hai
main ban jaaoon chakor or vo chand ban jaaye,
Chakor ka chand se rishtaa main naa bhooloongaa

Jeevan ki har ghadi uss sang hi bitani hai
Khud ki ek nayi pehchan usse banani hai
Main ban jaun uski saanse, wo ban jaaye aatma meri
Unn saanso ka aatma se rishta main na bhoolungi
 
Jeevan ki har ghadi uss sang hi bitani hai
Khud ki ek nayi pehchan usse banani hai
Main ban jaun uski saanse, wo ban jaaye aatma meri
Unn saanso ka aatma se rishta main na bhoolungi

Jisko humne chaha uska ko naam hi mohabbat hai
Bus unki wafa ko paana ab to hamaari chaahat hai
Main ban juaaun mohabbat unki wo wafa ban jaaye
Mohabbat se wafa ka rishta main na bhoolunga
 
apni aklal ka h sabo andaza
kisme kum h ya kisme jyada
hmmm fir bhi kahte h ki akl apni aur dhan dusro ka jyada lagta h:)
himyati ban ke yu jo talwar leke khade ho
dil paane ki ye ada nirali h
hmm par kahte h na mohbbat aur jang me sab jyaz h:)

Back
Top