Bhaisahab,
Leader ka matlab hota hai lead from the front. Keval baaton ke pakode utarne se kaam nahi chalta. jo bhi ye kehta hai ki Hindus ko 10-20 bacche karne chahiye to usse pehle khud ki family ko to dikhana hoga ki wo kya raha hai.
aise to bhaisahab main bhi keh doon, bhailogo, paltan paida kar lo. khair meri abhi shaadi nahi hui hai. lekin usse pehle main bhi to dekhon jo ye log suggest kar rahe hain, including Jatland ke upar, wo bhi kuch kar rahe hain ya nahi. unse pehle mera sawal ye hai ki kya wo aisa kar rahe hain?
aisi siksha dena jabhi accha lagta hai jaab khud kiya ho. Umeed karta hoon Jatland par jo ye siksha de rahe hain aur moral policing kar rahe hain, wo pehle hum sabko dikhaye ki unhone 10-20 bacche paida kare hain. varna aisi baato ka koi mehtava nahi hai.