Dosto ki is bheed mein ek dost ki talash hai mujhe,
Apno mein bhi ek apne ki talash hai mujhe,
Chor aata hai har koi samundar kay beech mujhko,
Ab duub raha hoon to ek sahare ki talash hai mujhe,
Ab thak chuka hoon mein in gumoo kay andhero say,
Kisi shaama kay ujaale ki talash hai mujhe...