Search results

  1. R

    Chronology of Indian History --Newer discussions

    Agar aap is link ko dekhen, http://en.wikipedia.org/wiki/Iran , to yeh likha hai: [The name "Iran", which in Persian means "Land of the Aryans", has been in native use since the Sassanian era, in antiquity.]
  2. R

    Chronology of Indian History --Newer discussions

    1. Ho sakta hai mere samjhne mein kuch kami rah gayi ho. Aapke dwara likhit Ahura ke samaan Asura ka Rigved me paaya jaana ka arth maine samjha ki aap kahana chah rahe hain ki Rigvedi rachnakaron ne central asia ka reference diya hai. 2. Rigvedon mein Saraswati nadi ko bahut mehattav diya hai...
  3. R

    Chronology of Indian History --Newer discussions

    Agar Arya shabd bure vyakti ke liye prayog kiya hota to yeh apne desh ka naam Iran kyon rakhte? Iran shabd Aryan se hi bana hai.
  4. R

    Chronology of Indian History --Newer discussions

    Mera maan na hai ki Rigved ki rachna 1500 BC se pehle hui hai. Kitna pehle hui hai kehna mushkil hai. Agar samay baandha jaaye to karam kuch is prakar hoga: i) Rigveda ii) Upanishad/Brahman aadi iii) Mahabharata iv) Puraan Parantu yeh manwaane ke liye ki Rigved ka rachiyta central asia se...
  5. R

    Chronology of Indian History --Newer discussions

    Yeh richayen kisi sthan ki soochak kaise hain yeh samajh mein nahi aa raha hai.
  6. R

    Chronology of Indian History --Newer discussions

    Aryon ki utpatti ek bahut bada anusandhaan ka topic hai. Pashchimi vidvaanon ke anusaar Rigved ki rachna 1500 BC mein ki gayi. Inhi vidvaanon ka maan na hai ki Jin aryon neh is ki rachna ki veh Eurasia ki steppe se uth kar aaye thhe. Prashan yehi hai ki agar yeh arya bahar se aaye thhe to...
  7. R

    Chronology of Indian History --Newer discussions

    Tapas Pal ne 1500 BC isliye chuna hai kyonki Rigveda ki rachna 1500 BC may ki gai maani jaati hai. Is kaaran se unka paper Rgvedic geography ke baare me baat kar raha hai. Kain shloko ka reference diya hai unke paper mein. Ve sab Rigved ke shloka hain. Jo naksha diya hai veh bhi Rigvedic...
  8. R

    Chronology of Indian History --Newer discussions

    Aapka mat sahi pratit hota hai. Parantu ladai ka karan kya raha hoga? Kya yeh ladai Vedic Dharm ko lekar hui hogi? Chunki Bharat mein bahut se dharm utpann ho rahe thhe to kya yeh swabhavik hai ki inke anucharan karne wale aapas me behas karein aur ladai karne lage?
  9. R

    Chronology of Indian History --Newer discussions

    Jitni vedic shabdon ki kitabein (jaise Macdonnel aur Keith dwara likhi gayi) se mujhe vakfiyat hai unke anusar to Uttarkuru Rigved mein nahi likha milta hai. Niche ek paper diya gaya hai aur isme Vedic geography ka acha jikr hai. <tbody> Sr. Title...
  10. R

    Chronology of Indian History --Newer discussions

    Aapse uttarkuru ka rgveda main likha jaan pucchne ke piche kaaran tha ki Macdonell and Keith dwara likhi gayi kitaab "Vedic Index of Names and Subjects vol. 1, p. 84" par likha hai ki Uttarkuru Rgveda may nahin apitu Aitreya Brahmana may paaya jaata hai. Rigved ke rachnakaron ne uttarkuru...
  11. R

    Chronology of Indian History --Newer discussions

    Kuch galat kah diya ho to kshama kijiye.
  12. R

    Chronology of Indian History --Newer discussions

    Bharatiya aryon se taatparya hai veh arya jo bharata main rahte thhe aur jinhone rigved ki rachna kari. Irani arya veh arya the jo bharat se uth kar iran ki taraf gaye thhe. Isi kaaran unki dasyu se ladaai nahi hui aur veh dasyu ko arya hi maante thhe. Bharat varsh mai anekoanek dharm aur mat...
  13. R

    Chronology of Indian History --Newer discussions

    Is gutthi ko suljhaane ke liye jaroori hai ki references ek kitaab ke ek jagah pur discuss kiye javaein. Agar Sirf Rigveda ko liya jaaye to kya usme uttar kuru ya deva lok ka varnan milta hai? Kya Rigveda main central asia ka varnan milta hai? Rigveda main agar in jagahon ka varnan nahi milta...
  14. R

    Chronology of Indian History --Newer discussions

    Aap se seekhne ka avasar mil raha hai iske liye bahut dhanyavad! Mera mat hai ki bharatiya arya bharat ke bahar se nahi aaye. Jaisa ki BB lal bhi kah rahe hain.
  15. R

    Chronology of Indian History --Newer discussions

    Aapne shayad kuch galat padh liya. Bharat ke aryon ki dasyu se ladai hui. Irani aryon ki ladai nahi hui. Irani arya log dasyu ko arya hi maante the. Aur dasyu iran evam bharat mei paaye jaate thhe. Isse to yahi jahir hota hai ki jo arya bharat ke the unka dasyu se kuch takrar raha. Agar...
  16. R

    Chronology of Indian History --Newer discussions

    Dasyu Iran mein bhi rahate thhe aur vahan yeh Dahae kahe jaate the. Irani log inhe arya hi maante thhe. Kuch logon ka maan na hai ki Daghestan desh inhi ke naam se chala hai. Vicharniya baat yeh hai ki Irani arya logon ki Dahae se ladaai nahi hui parantu jo arya bharat ke the unse inki ladaai...
  17. R

    Chronology of Indian History --Newer discussions

    Link post nahi ho pa raha hai. Nichle vakya me se aap saare space mita deven to yeh link ban jayega. Lecture Dr BB Lal dwara diya gaya tha. Yeh shayad ASI ke director thhe. w w w . a r c h a e o l o g y o n l i n e . n e t/ a r t i f a c t s/ 1 9 th-century-paradigms. h t m l
  18. R

    Chronology of Indian History --Newer discussions

    Inaugural Address delivered at the 19th International Conference on South Asian Archaeology, held at University of Bologna, Ravenna, Italy on July 2-6, 2007. Distinguished fellow delegates and other members of the audience...
  19. R

    Chronology of Indian History --Newer discussions

    ऋग्वेद aur anyain vedon ke anusandhan se pata chalta hai ki Arya log bharat se bahar gaye the. Kaha jata hai ki Arya logon ko bahar se bharata aane ki koi yaad nahin hai parantu bharat se bahar jaane ke parimaan vaidik sahitya mai milte hain. Aapke anusandhan ke anusar himalya ki paribhasa in...
  20. R

    Chronology of Indian History --Newer discussions

    Dev Samhita kab likhi gayi thi or kaunse shlok mein central asia ka varnan milta hai?
Back
Top