Search results

  1. R

    Chronology of Indian History --Newer discussions

    Ab to katai top ka gola hi chala diya tau ne. Rigved ke Brahman bhi fail kar diye . Bahut khoob. Lekin jara Rigved ke shlok ko bhi dekh lein: इमं मे गग़ें यमुने सरस्वति सुतुद्रि स्तोम् सचता परुष्ण्या । असिक्न्या मरुवृद्धे वितस्तयार्जीकीये श्रृणुह्या सुषोमया ॥ Padhna shuru kijiye: Ganga...
  2. R

    Chronology of Indian History --Newer discussions

    Sun to bahut din se rahe hain lekin aaj tak koi pramaan nahi mila ki helmand ki saraswati saagar tak pahunchti thhi. Rigved ki saraswati samudra tak pahunchti thhi aur aapki helmand ki nadi ek johad mein khatam hoti hai. Johad aur samudra do alag cheej hain. Thoda apne glass mein paani aur daal...
  3. R

    Chronology of Indian History --Newer discussions

    Theek hai to ab jara batayen ki yeh baap bete Iran kaise pahunche. Koi copy paste nahi chalega. Jis prakar Rigved mein Divodas ka janam Saraswati ki den unke pita Vridhashwaya ko bataya gaya hai usi prakaar ka evidence chaiyega. Roy ne yah dhikde ne likh diya se kaam nahi chalega. Mool Stotra...
  4. R

    Chronology of Indian History --Newer discussions

    Aap baat ko gol gol ghuma rahen hain aur poora ghaal meil chal raha. Aap kisi baat ka seedha uttar nahin de rahe hain. Aapse kaha ki Swami Dayanand ki kitaab ka jo panna aapne upload kiya usme 6.61.1 shloka nahi hai woh bhi aapki samajh mein nahi aaya. Khair Yeh aapse seedhe sawaal hain: 1)...
  5. R

    Chronology of Indian History --Newer discussions

    Katai nahi. Aap kuch Iraniyon ke granthon mein se Saraswati nadi ke iran mein hone ka udhaaran dijiye. Anyatha yeh be fizuul ki baat hai. Aur saath saath yeh bhi bataiye ki kya Ganga aur Jamuna bhi Iran me thhe?
  6. R

    Chronology of Indian History --Newer discussions

    Aapne bilkul sahi farmaya. Parantu yahan kuch log hain jo ki Saraswati nadi ko nadi nahin maanenge, jo ki sanskrit mein Rigved mein saaf likha hai, kyonki veh shodh mein vishwash nahi rakhte hain. Unhone Bhartiyon Aryon ko Iran mein pahuncha diya hai kyonki kisi Roy ne aisa kaha hai! Aisa bhale...
  7. R

    Chronology of Indian History --Newer discussions

    Aapka bahut dhanyavad. Griffith aur Wilson ka anuvaad bilkul sahi hai. Kahi koy sanshay ki gunjaaish nahi hai. Pita aur putra ka naam saaf diya hai 6.61.1 shloka mein. Aur is mandal ke jo anya shlok hain unme Saraswati nadi ka hi varnan hai.
  8. R

    Chronology of Indian History --Newer discussions

    Yeh jo aapne upload kiya hai isme kahin 6.61.1 nahi hai. Yeh 6.61.9 se shuru hota hai. Aap chahe kisi ko dikha lijiye. Aur kripa kar kar thode aur professor ke anuvaad padhne ka kasht karein jiase Wilson, Griffith jaisa Neeraj ji ne bhi kaha hai:
  9. R

    Chronology of Indian History --Newer discussions

    Aap phir kamaal kar rahe hain. 6.61.1 se agla shloka hai 6.61.2 aur iska anuvad hai: इयं शुष्मेभिर्बिसखा इवारुजत्सानु गिरीणां तविषेभिरूर्मिभिः । पारावतघ्नीमवसे सुवृक्तिभिः सरस्वतीमा विवासेम धीतिभिः ॥२॥ Anuvaad: She with her might, like one who digs for lotus-stems, hath burst with her strong...
  10. R

    Chronology of Indian History --Newer discussions

    Jo aapne upload kiya hai veh shloka 6.61.1 nahi hai. Kripa kar ke sahi shloka ka anuvad upload kijiye. Aur jo aap upload kar rahe hain veh sahi tarah padhne main nahi aa raha hai. Aap flickr (flickr.com) pe account khol loijie aur wahan bade size ki file upload kijie sahi shloka ki jisse doodh...
  11. R

    Chronology of Indian History --Newer discussions

    Aap kamaal kar rahe hain. Apne jawaab me Trutiyan dekhna shuru kijiye: Pehli aap Swami Dayananda ka naam vyarth istemaal kar rahe hain. Ek hindi bhashi ko itna pata hona chaiye ki jin ka aap hawala de rahe hain ve Divyanand hain na ki Dayanand. Yeh ek bahut bada farak hai. Doosri baat: yeh...
  12. R

    Chronology of Indian History --Newer discussions

    Kisi bhi shodh ke liye yeh anivarya hai ki log sach bole aur jo kahen use kare. Artharth aapne kai din pehle Swami Dayananda Saraswati ka hawala diya Divodas ke janam ko lekar. Aapne yeh bhi kaha ki aap unki kitab ke panne ka scan yaha prastut karenge. Aaj tak sab intjaar mein hi baithe hain...
  13. R

    Chronology of Indian History --Newer discussions

    Kuch aur tathya dhyan dene ke liye: Rigved mein Saraswati nadi bina tute hue samudra tak pahunchti hai. Uske baad ke granthon mein is nadi ka vibhinn jagahon per tootne ka vivaran hai. Is baat se vigyan ki madad se Rigved ke rachnakal aur Mahabharata ke rachnakal ka pata chalta hai. Jo duniya...
  14. R

    Chronology of Indian History --Newer discussions

    Koi dikkat nahin mitra. Ravi Chaudhary ki baat kaafi hadh tak sach hoti deekh rahi hai. Puraani kitabon se copy paste pure joron se chal raha hai. Ummid yeh hai ki sab lok dekh sakte hain ki yeh copy paste bekaar hai.
  15. R

    Chronology of Indian History --Newer discussions

    Aur ek anuvaad acharya Horace Hyman Wilson ki pustak se: isme unhone Rigved ka anuvad kiya hai aur 6.61.1 ke anuvad kuch is prakar hai: "She gave to the donor of the oblations, Vadhryaswa, a son. DivodasA 1 endowed with speed, and acquitting the debt (due to gods and progenitors); she who...
  16. R

    Chronology of Indian History --Newer discussions

    Aap bahut bol rahen hain bina samjhe. Ek baat karne ka tareeka hota hai aur Sanskrit thodi bahut aati hai se matlab hai ki maine jo shloka 6.61.1 ke baare mein likha hai main apni baat per pura bharosa karta hoon. Yeh majak ka chetra nahin hai. Phir bhi chunki aap puch rahe hain aap ise...
  17. R

    Chronology of Indian History --Newer discussions

    Bhai yeh to mera apna translation hai. Thodi bahut Sanskrit aati hai to isliye likh diya. Lekin ajeeb yeh hai ki aapko meri baat ghaal meil lag rahi jabki anya buddhijivi theek lag rahe hain jinhone yeh kaha ki ve swami dayananand ke anuvad prastut karenge aur aaj tak kiya nahin. Divodas...
  18. R

    Chronology of Indian History --Newer discussions

    Divyanand ji ki bilkul bekar translation hai. Sanskrit shloka yeh diya hai: इयमददाद्रभसमृणच्युतं दिवोदासं वध्र्यश्वाय दाशुषे । या शश्वन्तमाचखादावसं पणिं ता ते दात्राणि तविषा सरस्वति || Isme aap dekhen Divodas ke Pita वध्र्यश्वाय ke baare me likha hai ki Saraswati ki tapasya se unhe ek putra...
  19. R

    Chronology of Indian History --Newer discussions

    Aap baat gol gol ghuma rahen hain. Aapke paas Swamiji ki kitaab hai, aapne usme 6.61.1 ka anuvaad padha hai aur aap use yahan likhne me katra rahe hain. Nasihat yeh de rahe hain ki hum sab swamiji ki kitab padhen. Yeh theek nahi hai. Ek taraf doosro so aap yeh mangte hai ki wo aapko har cheej...
  20. R

    Chronology of Indian History --Newer discussions

    Mere vichaar mein aap ne likhi baat puri samjhi nahin. Yeh kohi nahi kah raha ki kisi doosre ko quote na kiya jaave. Dikkat is baat ki hai ji jab ham bahut puraane shodh ko sach maan lein khaskar jab naye shodh ne use palat diya ho. Udharanarth aap Royji ki baat do raha rahen hain jabki...
Back
Top