Wafa aur mohabbat

Status
Not open for further replies.
raat thi jawa mausam main halki si nami thi
uss mehfil main na logo ki kami thi
hamme bewafa kehne waalien kaash tunne hamari aankhoien ko dekha hota
jinme ashq ki ek moti parat jami thi.......


Har waqt meri aankhon me rehti khushi thi
Hume n wafaaon ki hui kabhi kammi thi
Wo aankhen ab dekhane layak hi nahi
Jisne WAFA ke naam pe ki bewafaai thi
 
Dost to khud hi ek khushi hote hai
Es zindagi ki wahi to jarurat hote hain
Doston se hi to jawan hai ye mehfil
Sacche dost hi asli kudrat hote hai

Ye dost zindagi ki mukurahat hote hain
Ye saya ban har dum sang hote hain
Ye WAFA bhi dosto se sikhi hai humne
Inhi Dosto ke sang hum, HUM hote hain:) :)
 
iss mushayrey mein chand poshida khayalat pesh karne ki jurat ki hai....:)

jindagi kuch aisi shikast de key ab fanah ho jayein,ya rihaa ho jayein
kafiley chaltey rahein yuhin,, naakshey-qadam fir jaswaan ho jayein ...
 
Unke bina bhari mehfil veeraan lagti hai
Har hansi humen gum ka samaan lagti hai
Jab bhi jikar karta hai koi unka mehfil mein
Unki baaten karna hi hamara armaan lagti hai

Unke bina to ye aankhen bhi veeran lagti hain
Har baat sirf baaton ki dukaan lagti hain
Jabhi naam leta hai unka mehfil me
Humari ek hansi sab pe meharbaan lagti hai
 
Most welcome

iss mushayrey mein chand poshida khayalat pesh karne ki jurat ki hai....:)

jindagi kuch aisi shikast de key ab fanah ho jayein,ya rihaa ho jayein
kafiley chaltey rahein yuhin,, naakshey-qadam fir jaswaan ho jayein ...

Jinadagi kuch aisi inayat de ki sab Khushiyon se aabaad ho jaaye
Kafiley to yuhin chalenge sabke, or sab ka yahan naam ho jaaye
 
Ye dost zindagi ki mukurahat hote hain
Ye saya ban har dum sang hote hain
Ye WAFA bhi dosto se sikhi hai humne
Inhi Dosto ke sang hum, HUM hote hain:) :)


Zindagi muskuraati hai inhi doston se
Kismat sanwar jaati hai inhi doston se
Har pal kadam se kadam milaaate hain
Manzil aakhir mil hi jaati hai inhi doston se
 
iss mushayrey mein chand poshida khayalat pesh karne ki jurat ki hai....:)

jindagi kuch aisi shikast de key ab fanah ho jayein,ya rihaa ho jayein
kafiley chaltey rahein yuhin,, naakshey-qadam fir jaswaan ho jayein ...


Zindagi bhi kya shikast degi mast dewaano ko
Kaafila to khud b khud inke saath jud jaata hai
 
Unke bina to ye aankhen bhi veeran lagti hain
Har baat sirf baaton ki dukaan lagti hain
Jabhi naam leta hai unka mehfil me
Humari ek hansi sab pe meharbaan lagti hai


Unke bina ye raahen anjaan lagti hai
Ye zindagi bahut hi sunsaan lagti hai
Her mehfil hai unke naam se hi abaad
Unke pahlu mei zindagi muskan lagti hai
 
Zindagi muskuraati hai inhi doston se
Kismat sanwar jaati hai inhi doston se
Har pal kadam se kadam milaaate hain
Manzil aakhir mil hi jaati hai inhi doston se

Humari Zindagi, Zindagi hai inhi dosto se
Duniya haseen lagti hai inhi dosto se
Milti hi sirf mushkil se hai aisi dosti
Humara naam hai jahan me inhi dosto se
 
Unke bina ye raahen anjaan lagti hai
Ye zindagi bahut hi sunsaan lagti hai
Her mehfil hai unke naam se hi abaad
Unke pahlu mei zindagi muskan lagti hai



Unke bina ye jahan bhi paraaya lagta hai
Phoolon ka chaman bhi ujada hua lagta hai
Aapka naam liya to saansen aayi mehfil me
Ye shayarana apka Har-kaarah lagta hai
 
Aji DOSTON ki DOSTI me kia rakha hai
Ye dosti n nibhaane waale kia jaane
WAFA, MOHABBAT ke naam me kia rakha hai
ye jamaane bhar ka naam rakhane waale kia jaane
 
Jinadagi kuch aisi inayat de ki sab Khushiyon se aabaad ho jaaye
Kafiley to yuhin chalenge sabke, or sab ka yahan naam ho jaaye



Ye zindagi ki inaayat hai jo khushiyan kadam chumtee hai
Ek hansi kisi ko dekar dekho ye duniya fir jashn manayegi
 
Unke bina ye jahan bhi paraaya lagta hai
Phoolon ka chaman bhi ujada hua lagta hai
Aapka naam liya to saansen aayi mehfil me
Ye shayarana apka Har-kaarah lagta hai


Ishq ke bina ye deewaangi bhi kya hai
Chaahat ke bina ye bandagi bhi kya hai
Kisi ke dum se hi mahakati hai khushiyan
Mohabbat ke bina ye zindagi bhi kya hai
 
Ek Ek kar itni hansi dete aaye hain sabko aaj tak hum
Ki Mera to gam bhi is hansi ka udaar na chuka paayega


Khushi to hamesha es gum ko maat deti aai hai
Zindagi ki chaah mein hi koi kisi pe marta hai
 
Last edited:
Ishq ke bina ye deewaangi bhi kya hai
Chaahat ke bina ye bandagi bhi kya hai
Kisi ke dum se hi mahakati hai khushiyan
Mohabbat ke bina ye zindagi bhi kya hai

Sitaaron ne humse aashiqi karne ki gustakhi ki
Chaaand ne unhe behla behla ke sula diya
Usi Chaand jab hume "Khushi" kaha
Sitaaron ne fir hum par hi ilzaam laga diya
 
Last edited:
Aji DOSTON ki DOSTI me kia rakha hai
Ye dosti n nibhaane waale kia jaane
WAFA, MOHABBAT ke naam me kia rakha hai
ye jamaane bhar ka naam rakhane waale kia jaane


Ye rishta to hai dosti ka koi nadaan kya jaane
Bandhan hai kacche dhagon ka koi anjaan kya jaane
'Wafa aur mohabbat' ke naam ko miataane waale
En Rishton ka asli matlab koi be-imaan kya jane
 
Last edited:
Sitaaron ne humse aashiqi karne ki gustakhi ki
Chaaand ne unhe behla behla ke sula diya
Usi Chaand jab hume "Khushi" kaha
Sitaaron ne fir hum par hi ilzaam laga diya



Kisi chand ki hi chandni ho tum
Ye sitaare to bahut milte hai yahan
Jahan khushi hai wahin zindagi hai
Mohabbat ke phool khilte hain wahan
 
Last edited:
Mera har gam meri Khushi pe marta aaya hai
Is khushi ki chahat ne gam ko bhi bahut rulaaya hai



Ye gum bahut hi rulaata hai khushi ke liye
Is dil mein har pal khushi ki hi chaahat hai
Jisne gum diya humen zindagi bhar ke liye
Maasom dil mein pal rahi usi ki hi mohabbat hai
 
Last edited:
Status
Not open for further replies.
Back
Top