choudharyneelam
Banned
Hello friends, i wanted to post this thread in hindi language, so i tried to find out the way to do but wasn't able to do that...so now posting it in this font only....you don't get bore by reading it all at once..so i'll be posting it in some parts.....if you like it...you might have read all this somewhere.
Regards
Neelam
Saundarya
Sunder varn, sudaul ang-pratayang, chaal, drishti, bhaav tatha taud-maraud aadi mein suhavnapan aur vaani mein madhurya ye baahri saundarya hain.
Kshama, prem udarta, nirbhimanta, vinay, sahishnuta, samta, shaanti, dheerta, veerta, satya, seva, ahinsa, brahmcharya, sheel aur prabhu-bhakti aadi sadgun tatha sadbhaav bhitari saundarya hain.
Bhari tatha bhitari dono hi saundarya aavashayak hain; lakin bahri ki apeksha bhitari saundarya ka mahattav adhik hai. Roopvati naariyon ko roop ka garv na karke apne ander sadgunon tatha sadbhaavon ke saundarya ko badhana chahiye.
Lajja
Dharm-virudh, sheel ke virudh aur samaj ke pavitra prathaon ke virudh kuch bhi karne mein mahan sankoch aur purush samaj ke sansarg se bachne ke liye hone waale drishti sankoch, ang-sankoch aur vaani-sankoch ka naam lajja hai. Lajja naari ka bhushan hai aur vah sheelbhari aankhon mein rahta hai.
Vinay
Vaani mein tatha shareer mein sanchalan mein garv, ugrata, kathorta tatha tedhepan ka tyaag karke namra, saral, snehpurna, aadar-bhaavyukt aur madhur hona vinay hai. Vinay ka arth na to chaaplusi hai, na kayarta hai. Dushton ke daman mein kathorta aur ugrata aavashayak hai. Par ghar-parivaar tatha sansaar ke anye sabhi vyahvaaron mein naari ko vinayta ka bhushan dharan kiye rahna chahiye.
Sanyam-Tapp
Shareer, mann aur vaani ko vishayon ki aur se yatha sadhya hataye rakhna tatha unko kabhi bhi aveidh tatha akalyankaari karya mein na lagne dene ka naam sanyam hai. Shareer, vachan aur mann se hone waali tamam kupravartiyon se mann ko hatakar inn satyapravartiyon mein lagaye rakhna hi sanyam hai.