Yaadon Ke Pal

Status
Not open for further replies.
ishk mein is dil ko sabar ab kahan
unse mil gayi ye ankhein to ab khwab kahan

Mohabbat mein kahan sabar kisike paas
Bas ek nazar mili aur ye dil gaya kaam se
Khawab to woh dekhe jinhe neend aati ho
Dil dhadkata hai bus mehboob ke naam se
 
Mohabbat mein kahan sabar kisike paas
Bas ek nazar mili aur ye dil gaya kaam se
Khawab to woh dekhe jinhe neend aati ho
Dil dhadkata hai bus mehboob ke naam se

Dhadakta hai dil mehboob ke naam se
Na karaoo ase khata dil-a-nadan se
bahut tadapana padega use ek roz
Vaakif nahin woh mohabbat ke anjaam se
 
Khwaab ka kya hai,Mohabbat hote he palne lagte hain
Kisi ke ankhoon mein jammen-aasman milne lagte hain
dosh na aapka hai na kisi aur ka, na he umar ke daur ka
Jab bhi ho Mohabbat, kadam khud-b-khud fisalne lagte hain

Mohabbat mein neend nahin aati khawab kahan aayenge
Un ankhon mein hi zindagi ke har rang nazar aayenge
Zindagi ka sab raaste jaayenge sirf unke hi ghar ki taraf
Duniya badlane ki kahne waale khud hi badal jaayenge
 
Dhadakta hai dil mehboob ke naam se
Na karaoo ase khata dil-a-nadan se
bahut tadapana padega use ek roz
Vaakif nahin woh mohabbat ke anjaam se

Ye dil ab itnaa bhi to nadaan nahi
Aur jaanta mohabbat ka anjam hai
Tadapate aaye hain dilwaale sada
Isiliye to ye mohabbat badnaam hai
 
Ye dil ab itnaa bhi to nadaan nahi
Aur jaanta mohabbat ka anjam hai
Tadapate aaye hain dilwaale sada
Isiliye to ye mohabbat badnaam hai

mohabbat badnam nahin mashoor hai
ye nakaam nahi ,bus majboor hai
lagake dekho dil kahin,tab janoge
kaisa iska nasha aur suroor hai:)
 
mohabbat badnam nahin mashoor hai
ye nakaam nahi ,bus majboor hai
lagake dekho dil kahin,tab janoge
kaisa iska nasha aur suroor hai:)


Dil bhi lagayaa tha humne bhi kabhi ek haseen se
Woh bhi kya lamhe the jab hum par koi marta tha
Salamat rahe woh jisne mohabbat ko badnaam kiya
Koi kya yaad karega kabhi ek insaan un par marta tha
 
Dil bhi lagayaa tha humne bhi kabhi ek haseen se
Woh bhi kya lamhe the jab hum par koi marta tha
Salamat rahe woh jisne mohabbat ko badnaam kiya
Koi kya yaad karega kabhi ek insaan un par marta tha

Aap jis haseen pe marte hain
vo is beraham jamane se darte hain
koi to samjhaaye zara unhe
pyar mein doob kar he ubharte hain
 
Aap jis haseen pe marte hain
vo is beraham jamane se darte hain
koi to samjhaaye zara unhe
pyar mein doob kar he ubharte hain


Dilwaalon ki duniyan to bus zinda hai mohabbat se
Woh kya pyar karenge jo zamaane se darte hain
Ye be-raham duniyan kya maaregi deewaano ko
Pyar karne waale to aise hi ek dusre par marte hai
 
Dilwaalon ki duniyan to bus zinda hai mohabbat se
Woh kya pyar karenge jo zamaane se darte hain
Ye be-raham duniyan kya maaregi deewaano ko
Pyar karne waale to aise hi ek dusre par marte hai

Mohabbat mein kaun kisi pe marta hai
insan to sirf dilo ka karobaar karta hai
ishq to bas kuch palon ka ahsaas hai
aur har jawan dil is daur se gujarta hai:)
 
Mohabbat mein kaun kisi pe marta hai
insan to sirf dilo ka karobaar karta hai
ishq to bas kuch palon ka ahsaas hai
aur har jawan dil is daur se gujarta hai:)

Woh aur honge dilo ka karobaar karne waale
Apna dil luta baithe mohabbat mein marne waale
Ishq kiya hai humne kisi se koi chori nahin ki
Anjaam-e-mohabbat se hum nahin darne waale
 
wah wah...bahut khoob:)

Woh aur honge dilo ka karobaar karne waale
Apna dil luta baithe mohabbat mein marne waale
Ishq kiya hai humne kisi se koi chori nahin ki
Anjaam-e-mohabbat se hum nahin darne waale

Jhalakte hai himmat bahut aapke batoon se
par zindagi katte nahin sirf jasbaaton se
karna padta hai hakikat ka saamna sab ko
varna kise hai manjoor samjhota halaton se
 
wah wah...bahut khoob:)

Jhalakte hai himmat bahut aapke batoon se
par zindagi katte nahin sirf jasbaaton se
karna padta hai hakikat ka saamna sab ko
varna kise hai manjoor samjhota halaton se

Himmat to ess mohabbat se hi aati hai
Zindagi rubroo unke zazbaaton se hai
Ess duniyaan se to bahut lad liye hum
Ab to bus ladna apne hi halaaton se hai
 
Chirago ko aankhon me mehfooz rakhna,
bahut dur tak raat-hi-raat hogi.......
Musafir hain hum bhi musafir ho tum bhi,
na jaane ab kis mor pe mulaqat hogi..............
 
Himmat to ess mohabbat se hi aati hai
Zindagi rubroo unke zazbaaton se hai
Ess duniyaan se to bahut lad liye hum
Ab to bus ladna apne hi halaaton se hai

kab tak ladoge in bigade halaat se
zindagi ke ajeeb-ajeeb savalat se
mumkin nahin mukadar ko badalna
tut jaooge mayus din aur tanha raat se
 
kab tak ladoge in bigade halaat se
zindagi ke ajeeb-ajeeb savalat se
mumkin nahin mukadar ko badalna
tut jaooge mayus din aur tanha raat se


Mana apna muqaddar nahin badal sakta koi bhi
Lekin haar maan kar baithne waale hum nahin
Ye tanha raaten bh ek din roshan ho jaayengi
Ager barso intezar karna pade to bhi gum nahin
 
bahut khoob....:)

Mana apna muqaddar nahin badal sakta koi bhi
Lekin haar maan kar baithne waale hum nahin
Ye tanha raaten bh ek din roshan ho jaayengi
Ager barso intezar karna pade to bhi gum nahin

Thak jaaoge karte- karte intezaar
Jaane kab aayega mausem-a-bahar
mumkin hai ki rahe patjhad sada
kaise samjhaaoge dil ko bar-bar
 
bahut khoob....:)



Thak jaaoge karte- karte intezaar
Jaane kab aayega mausem-a-bahar
mumkin hai ki rahe patjhad sada
kaise samjhaaoge dil ko bar-bar


Intezaar ka to apna hi mazaa hai pyar mein
Hamesha patjhad ke baad hi bahaar aati hai
Ye dil hi to hai jo humen de raha hai dilasaa
Har roz ek nai zindagi ki umeed ban jaati hai


 
Intezaar ka to apna hi mazaa hai pyar mein
Hamesha patjhad ke baad hi bahaar aati hai
Ye dil hi to hai jo humen de raha hai dilasaa
Har roz ek nai zindagi ki umeed ban jaati hai



Lo Bhai Shayar team..meri bhi nursery level ki shayari suno :o

Har waqt intezaar karne mein maza nahi ata
Bahaar ki aas mein patjhad saha nahi jata
Dil to sirf umeed ki dilasaa deta hai
Magar khwab ko umeed samjha nahi jata
 
Welcome in poetry section, Prashant

Lo Bhai Shayar team..meri bhi nursery level ki shayari suno :o

Har waqt intezaar karne mein maza nahi ata
Bahaar ki aas mein patjhad saha nahi jata
Dil to sirf umeed ki dilasaa deta hai
Magar khwab ko umeed samjha nahi jata


Intezaar ka bhi apna hi mazaa hai pyaree
Ess Patjhad ke baad hi to aati hain bahaare
Dil mein koi umeed nahin to kya jee paaoge
Ye khawab bhi ek din sach honge hamaare
 
Intezaar ka bhi apna hi mazaa hai pyaree
Ess Patjhad ke baad hi to aati hain bahaare
Dil mein koi umeed nahin to kya jee paaoge
Ye khawab bhi ek din sach honge hamaare

Kab tak yun umeed ke sahare jee paoge
Bhahaar ki aas mein patjhad mein jhulas jaoge
behatar hoga agar haqiqat ko samjho
tabhi khwabo se nikalkar apni zindagi bana paoge ;)
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top