ek baar tau ke chhore kaa zoology test tha. chhore ne raat bhar padhai kee aur test dene chala gaya. test me teacher ne khoob saare pakshion kee taange laakar rakh dee aur kaha sab chhoron se unhe pahchanne ko aur unka common naam, habitat, genus likhne ko kaha, apne chhore ko ya sab bahut ajeeb laga kyonki saari taange to ek jaisee hee thee. ussko gussa aa gaya aur apna paper lekar teacher ke paas gaya aur bola kee ye kaisa ajeeb test hai, maine nahin dena aisa test, aur apna paper raakh kar chal gya, ab class me ghane chhore the, master ne sab kaa naam na pata tha, so pheeche se bolya, re tera naam kya hai, chhore ne pant oopar kee aur bolya, le taang dekh kar pahchan le.......