Kat sakti agar akele zindagi

Status
Not open for further replies.

mcamalik

New member
Har nazar ko ek Nazar ki talash hai,
har chehre me kuch toh Ehsaah hai,
Aapse Dosti hum yun hi nahi kar baithe,
kya kare Hamari pasand hi Kuch KHAAS hai . .
Chiragon se agar andhera duur hota,
toh chand ki chahat kise hoti.
Kat sakti agar akele zindagi,
to dosti naam ki cheez hi na hoti.
Kabhi kisi se Zikar e judai mat karna,
Iss dost se kabhi ruswai mat karna,
Jab dil uth jaye humse toh bata dena,
Na batakar bewafai mat karna.
Dosti sachi ho to waqt ruk jata hai
Asma lakh uncha ho magar jhuk jata hai
Dosti me duniya lakh bane rukawat,
Agar dost sacha ho to khuda bi jhuk jata hai.
Dosti woh Ehsas hai joh mit ta nahi.
Dosti Parwat hai woh, joh Jhukta nahi,
Iski keemat kya hai pucho Humse,
yeh woh ANMOL Moti hai joh bikta nahi . . .
 
Kisi ko chirag se hai pyar
Kisi ko chand se hai darkaar

waqt ke saath badalte hain jo
wafa, mohabat,dosti aur ehsaas

Apni apni fitrat hai ye
koyi anjaan koyi beimaan

koyi bheed me bhi akela
kisi ko tanhaayi se hai sarokar

kyu zaya kiya kisi pe har armaan
khud se behtar na paya koyi insan

gar khud ko bhool ke karogey pyar
pathar ko bhi bana doge bhagwan
 
Hello ... Hello ...... if i am not wrong this is Current affairs Forum ..... either the topic is wrong or maybe this is really a current affair material ... :)
 
Mujhse mat puchhiye bawafa kaun hai,
Aaj ke daur me pareshan kaun hai !

Paon padte nahi hai zameen par mere
Rah me eh achanak mila kaun hai !

Koi chhookar mujhe chhup gaya hai kahin
O teri yad hai ya hawa kaun hai !

Teri khatir jeeye teri khatir mare,
Is zamane me mere siwa kaun hai !

Id meri huyee jab se dekha tujhe,
Mere jehne falak pe bata kaun hai !

Meri aankho me rahta hai hardam koi
Ab e tum bin mujhe kya pata kaun hai !

Meri sanson me Mahke hai jo rat din,
Aisi purwayee me barha kaun hai !!
 
Iss mai b koi shak hai apko mejbaan

Sunita Ji
Aap se Inspire ho ke maine b kuch likhne ki himakat ki hai! Koi galti ho to Maaf karna!!!!!!!!!!

Kisi ko chirag se hai pyar
Wo jalne ko hai tyar
Kisi ko chand se hai darkaar
Lekin Duri nahee pta usko sarkaar
waqt ke saath badalte hain jo
Paa lete hai jindgi mai sab-kuch wo
wafa, mohabat,dosti aur ehsaas
Duniya mai jo karte hai kori Bakwaas

Apni apni fitrat hai ye
Har ek ko shikayat hai ye

koyi anjaan koyi beimaan
Fir bhi mera Desh Mahaan

koyi bheed me bhi akela
Jaise Gareeb ne thela dhkela
kisi ko tanhaayi se hai sarokar
Kisi ka nahee hai Parivaar

kyu zaya kiya kisi pe har armaan
Kyu karte ho apne pe itna Guman
khud se behtar na paya koyi insan
mat lgao kisi pe ye Ilzam

gar khud ko bhool ke karogey pyar
Sab hai milne ko Tyar
pathar ko bhi bana doge bhagwan
Iss mai b koi shak hai apko mejbaan
 
Amazing continuity to my lines....But if you could change the font color please....The florescent colour is difficult to read:)
Sunita Ji
Aap se Inspire ho ke maine b kuch likhne ki himakat ki hai! Koi galti ho to Maaf karna!!!!!!!!!!

Kisi ko chirag se hai pyar
Wo jalne ko hai tyar
Kisi ko chand se hai darkaar
Lekin Duri nahee pta usko sarkaar
waqt ke saath badalte hain jo
Paa lete hai jindgi mai sab-kuch wo
wafa, mohabat,dosti aur ehsaas
Duniya mai jo karte hai kori Bakwaas

Apni apni fitrat hai ye
Har ek ko shikayat hai ye

koyi anjaan koyi beimaan
Fir bhi mera Desh Mahaan

koyi bheed me bhi akela
Jaise Gareeb ne thela dhkela
kisi ko tanhaayi se hai sarokar
Kisi ka nahee hai Parivaar

kyu zaya kiya kisi pe har armaan
Kyu karte ho apne pe itna Guman
khud se behtar na paya koyi insan
mat lgao kisi pe ye Ilzam

gar khud ko bhool ke karogey pyar
Sab hai milne ko Tyar
pathar ko bhi bana doge bhagwan
Iss mai b koi shak hai apko mejbaan
 
waqt ke saath badalte hain jo
Paa lete hai jindgi mai sab-kuch wo

kyu zaya kiya kisi pe har armaan
Kyu karte ho apne pe itna Guman

khud se behtar na paya koyi insan
mat lgao kisi pe ye Ilzam

gar khud ko bhool ke karogey pyar
Sab hai milne ko Tyar

बहुत खूब विकाश जी.......
वक्त के साथ बदलते हैं जो.....पा लेते हैं जिन्दगी में सब कुछ वो....

वाह !!! वाह !!!​

.
समय जिंदगी के लिये रुका झुका कर माथ
मौत भागती जा रही है दूर हिला कर हाथ
.
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top