Dear friends,
It is of great concern that our community is on breaking and disuniting path when other communities are consolidating and asserting themselves. Our community is divided on state and geographic lines.Majority of jats are living in four states i.e. Western UP, Delhi, Haryana and Rajasthan with sporadic distribution in MP. Have you ever seen sincere cooperation between these chaps. you will find these words looming large in their talks : UP KA JAT, PATTHAR KA BAAT, JITNI BAAR TAULO, GHHAT HI GHHAT. HARYANA KA JAT, KHAYE SHEET RABDI, BOLE THHAATHH HI THHAATHH. RAJASTHAN KA JAT, MOTH BAJRE KI GAANTHH. Not only these sarcastic words are used for each other in their gathering but also do try to put them ........ position. Majority of jats don't help each other and don't come out of regional considerations. 'RAM RAM NAHI KAREGA' this is consideration when somebody gets an opportunity of helping community fellow. Unless we get united, downfall is certain. Lets get united for the cause of community and all.
bhaiyo , jab tak hum jato me ekta nahi hogi hamara haal isse bi badtaar hoga. ab yaha bi hamare bhai ne inn aur rajyo ka jikra to kar diya par punjab jo ek jat bahul rajye hain ka jikra nahi kiya , kyoki waha sikh hain , bhai ne shayaad yaha bi jato ko dharam ke aadhar par baant diya . yahi hamare maar khane ka mukhya karan hain. jab tak hum jato me ekta nahi hogi to hamara hashar isse bi bura hoga. pujab ke jato me jo apni zaati ke partti katarta hain wo aur kahike jato me nahi hain. punjab me agar koi kalakar kisi bi zaati ka ho apni album me ek ganna jat ke uppar gana padega , nahi to wo kamyab nahi hoga,. aise hi agar film banani hain hain to jat ke uppar . par iss brahmanwad ke karan punjab ke jato ne sikh dhram apna liya, haryana , up , rajasthan , mp ke jato ne arya samaj apna liya , kuchh ne bishnoi wa budh dhram apna liya , pakistan ke punjab ke jato ne muslim dhram apna liya.
Ch.Chhoturam ne hindu, sikh , muslim jato me ektta ki thhi , jiske karan wo itne parshid huwe. unka ek kissa yaad aa gaya ...jiss samaye Zinnah pakistan ke mulsalmano me apna warchasav bana rahe thhe, Zinnah ne lahore ke muslamano ko badka diya . jiski khabar uss samaye ke punjab ke PM Tiwana saab jo ek muslim jat the ne Rohtak choudhary saab ke pass sandesha bhijwaya ki aap jaldi aa jao halat kharab ho gaye hain.
choudharysaab ne kaha ki lahore me ek rally rakho . rally me choudharysaab ne apne bhasan ke saruwat "mahjab baad me hain pahle hum jat hain aur jo hamara bantwara karega wo hume gawara nahi " se ki aur kya thha jato me ek josh aa gaya aur sabi mahjab ke jato ne Zinnah ke khilaaf awaj uthhai . police ne baddi mushkil se Zinnah ko lahore se nikala. jab tak choudharysaab jiye tab tak congress ki 3 aur Zinnah ki ek kashmir wali seat aai. unke marte hi desh ka nahi hum jato ka bantwara ho gaya . kahi desh ke naam par to kahi mahjab ke naam par.
Pt. Jawaharlal Nehru ji ne kaha thha ki Delhi ke charoo taraf jat ek mahan kaum bastti hain yadhi inme ekta aa jaye to ye kya nahi kar sakte . panditji to ye baat kah gaye par hamare ye baat palle nahi paddi.
hamare 85%jat bhai aaj bi gaon me rahte hain kheti karte hain , sabi ko naukri nahi mil sakti par kheti me to suvidha mil sakti hain jo nahi milti , aawaj uthhte hain to goli khani padtti hain , marnewale bi hamare apne , wahi angrejo wali soch. ek wayepari ka karja maanf desh par koi atrikt bhooj nahi ek kissan ka karja maanf desh par bhooj pad jata hain . hamari fasal ke daam kothio wale tai karte hain jino pata nahi ki konsi sakh me konsi fasal bhoi jatti hain.
yaha kuchh mere bhai better education ki baat karte hain , unko pata nahi ke gaon me logo ke pass iss better education ko lene ki furshat nahi. ye furshat sirf ginne chune jato ke pass hain. jinki furshat hain wo inn gaon walo ko kostte hain ki ye padna nahi chahte , aisa nahi hain kabhi aap log waha gaye nahi, sirf inn websiteo par do bate likh kar apna farj pura huwa samajte ho.
aur bhaiyo aaj ke kuchh jat pade likhe jarur huwe hain par bhaiyo pade likhe ke saath kadya likha hona bi jaruri hain , apne samaj ke bare me gyaan jaruri hain nahi to hamari aane wali nasle khatam ho jayengi.
abhi pichhe kuchh din pahle mere badde bhai ke pass koi apne chhore ke rishte ke bare me bolya .. bhai ne uss ladke se uske teen gotaro ke bare me puchha , usne apna aur apni maa ka to bata diya par boola dadi ka nahi pata. to bhaiyo issi padai bi kisse kaam ki nahi . padai matar do bakhat ki roti ke liye kar rahe ho kya? kya faiydha aisi padai ka.
bhaiyo ek jut ho jao apne har jat bhai ki awaj buland karo chahe wo naukri me ho chahe wo kissan ho, apas me ye kamiya nikalni bandh kar do hamara bala apne aap ho jayega..
kahne ko aur bi bahut hain fir kabhi kahunga.