Shweta, Nysa , Bhavna
aaj mere ko sab crystal clear ho gaya sachiiiiiiiiii...... Karmveer ji ki is post ne mujhe woh gyaan de diya jo itne din se nahi mil paaya
Ab tumhe na samajh aaye , tumme itna dimaag nahi hai isliye main tumhe explain karke batata hun ! Suno , dhyaan se !
1) Women working isliye hoti hain
"Kukee yea bhee to batana hai kee hum kitney badey hai."
2) Male and female equal nahi hoti , males are superior , bole toh bade hote hain , age mein nahi duffers , isliye bade kyunki woh working hote hai

3) Males are
heera , kyunki woh working hote hain so bade hote hain , and bade hote hain but fir bhi badaai nahi karte

even after unko mol laakh taka hota hai!
Main to ab argue karoonga nahi , haan tumhe karna ho to u can use this dohaa
jo badain ko laghu kahe , nahi rahim ghat jaahee
girdhar murlidhar kahe , kachuu dukh maanat naahi ....
==============
mujhe bas ek baat samajh nahi aayi .... motorcycle ki agli seat par agar "bade" ( men ) nahi hote to kaun hota hai ? Aur
three vehiler mein saath waali seat par bhi "bade" nahi hote to kaun hota hai ?
To end the post :
Ek din aisa hoyega , sabse pade bichooh
raaja , raani , raav , rank saavadh kyun nahi hoye