KANYAA BHURNA HATYAA
Gaonvon maine hamare aaj bhi choriyaan, aapshakun ke jaise hoti hain∫
Inke janma par aaj bhi maiyen , aankh minch minch kar roti hain∫
Aur inke babuji ke dil par, patthron ki barish hoti hain∫
Katha yahi kanyaa bhurna hatyaa ki, aabhishaap sa jivan dhoti hain∫
Gaonvon maine hamare aaj bhi choriyaan, aapshakun ke jaise hoti hain∫∫
Jayon khile ful si chandani chamke, maa- baap ko bojhe si lagti hain∫
Yo roti khati aadhi aur, pani ek aadh glass piti hain∫
Aur aakhir maine sab garhajanon ke, jhhute sare bartan dhoti hain∫
Vah dukh main bhi hansti rahti hain, aur raton ko nind main roti hain∫
Gaonvon maine hamare aaj bhi choriyaan, aapshakun ke jaise hoti hain∫∫
Pani lakdiyan naddi se lati hain ghar, ghar ko banana chaaye sundartar∫
Badhiya se badhiya vynjan pakati, khud rah jati hain upvaas par∫
Aakshaar karuna svaar maine gati hain, maa ke gam khati peeta ke dukh dhoti hain∫
Rishton maine ho bhikhrav nahin, iss tarah ki mala piroti hain∫
Gaonvon maine hamare aaj bhi choriyaan, aapshakun ke jaise hoti hain∫∫
Jaan garbh maine aagar beta ho to, hardyaa banshen khil si jati hain∫
Bhale baad maine jhhel usse, kevaal aah si bhar aati hain∫
Aagar kanyaa ka gyaan hua to, maa nichkaruna krur ho jati hain∫
Ek aaurat-aaurat ka katla kar, dekhon kaise chain se soti hain∫
Gaonvon maine hamare aaj bhi choriyaan, aapshakun ke jaise hoti hain∫
Gaonvon maine hamare aaj bhi choriyaan, aapshakun ke jaise hoti hain∫∫
Doston iss jatland ke madhyaam se aap sab ko mera yahi sandesh hain ki kanyaa ek anmol ratna hain yaha ek laxmi ka roop hain iski raksha karna∫∫
Dhanyawad
AAPKE VICHAR BHI SADAR AAMTARIT HAIN
SALURAM D.SIYOL
DAVANGERE KARNATAKA
Last edited: