ramitchaudhary
New member
Desh nai pagal bana raha hai yo.. Iska chela isse bhi bada ustaad.. Thug group hai ye Ramdev or iski company!
dear brother,
kya swami ramdev desh ko in netao se bhi jyada pagal bana raha hai....bhai yeh sawal apni-antaratma se poochna.
iska chela wakai mein bahut bada ustaad hai kyunki woh ayurved ka bahut bada gyani hai aur usne ab tak key sabse badey aur pratisthit "ayurved aur jadi-booti rahasay" granth ki rachna karke bahrat mata ki badi sewa kari hai.
swami ramdev mein vyaktigat roop mein kai kamiyan ho sakti hain parantu woh rashtrwad aur adhyatm ka shreshtha sangam hain.
durbhagya yeh hai ki hum ek film ko ya ek cricket match ko 100 bar dekh sakten hain par agar koi rastra hit ki baat karey to hamein usme uska swarth dikhai deta hai.....is rog sey hum sabhi peedit hain........
main to ek baat janta hun ki jo koi bhi rastra hit ki baat karega...hum uske saath hain.....
hum sabhi "gaal bajana" chod kar kuch dharatal par kam karen aur jo us kaam ko karney key liye sahas kar rahen hain, unka tan man dhan sey samarthan karen......
jai hind!!!