drrajpalsingh
New member
Mera abhipraya bharat ke adhunik historians se tha na ki yahan jo vartalap chal raha hai. Kya aap is baat se bilkul sahmat nahin hai ki bharat ke bade historian paschimi deshon ke historians ka hawala dene mein kuch garv sa mahsus karten hain chahe unki baat kitni galat hi kyon no ho?
Nehru Vishwavidyalaya Nayi Dilli aur Aligarh Vishwavidyalaya ke sabhi historians yeh maante hain ki Arya log bhar se aaye the aur unhone bharat per kabja kiya. Yeh log angrejon ka samarthan kar rahe hain. Aise vyvahar ke piche kya kaaran hai?
Friend,
JNU, Delhi and AMU Aligarh ke jin historian ne Aryan abode per anusandhan kiya hai, woh aap padh chuke hain to unke nishkroshon ko padhte huya aapne yah bhi paya hoga ki woh aisa manane ke liya kya tarak dete hain. Khair unhe chhodo woh kya kahate hain aur karate hain !
Aayiea aapni baat karate hain !
Samshya vastava mein yah hai ki aaj tak adhiktar log yah nahin samajh paye hain ki shabd 'Arya' kewal ek bhasha samuh suchak hai Jaati ya race ke liya iska dusproyoga hone ke karan samshya ki tah tak jaane mein dikkat ho rahi hai. Jin logon ko Arya label diya gaya hai woh sabhi philology ke adhaar pe ek samuh maana gaya hai lekin sudur prachin samaya mein jis bhasha ka woh prayog karate the woh Sanskrit, persian, greek, roman sabhi bhasha samuhon ki janani ke rup mein samajhi jane lagi aur in bhashaon ka prayog karane wale kisi purane zamane mein saath rahne ke sidhant ke rup mein samane aya hai. Woh konsa aisa sthan tha jahan woh log armbh mein rahe aur baad mein duniya ke anya hison mein bikhar gaye.
Ab sari samsya ka samaadhan is baat pe tika hua hai ki kya woh sthan bharat tha ya anya koi anya desh tha; aur yeh niskaraman kyon hua; kab hua.
Aur log jo kahen use chod dete hain ek taraf!!
Aap ka apna sodh is baare mein kya kahaaaata hai aur usko manane ka aadhar kya hai, kripya share kijiyaga !!
Thanks