yashbeniwal
New member
Dost nahi woh mera bhai hai
Mere is jeevan ki bas woh hi kamaai hai,
Tokhar mujhe lagi jab kabhi
Toh Chot usne khaayi hai,
Uske bina bhari mehfil mein bhi tanhaayi hai
Kya tumhe pata hai yaaron ki woh meri parchaayi hai,
Har modh par maine ushe saath paaya hai
Usne hi toh har kadam par mera saath nibhaya hai,
Sukargujaar hoon mai us Khuda ka
Jo uske roop mein mere pass chala aaya hai,
Mile na abh kuch bhi toh gum nahi
Uska ehsaas hi kisi jannat se kum nahi,
Uski dosti aur pyar mein mehfoos hoon mai
Aaj lagta hai ki shayad bahut kushnaseeb hoon mai.....