Doston..harr baar dukkh bhari baatein likkhi..parr dard nahin tha koi..itne replies paddhe parr shikayat nahin thi koi..
parr aaj to sacch mein...mood hi aisa hai..
ye dil lagaaya to lagaa dil lag gayaa;
unka khyaal aaya to lagaa dil lag gayaa.
wo mile to hum unse rooth gaye;
wo door hue to hum ruh takk toot gaye.
wo mile bhi kuch yun ke hum sambhal na paye;
shayad hum hi unko samajh na paye.
wo to bemisal hain apni hi kami hogi;
ankhein bheegi to lagaa..mausam ki nami hogi.
tabb to hamne bhi jazbat mein kucch bol diya;
pyaar ke lamhon ko kadwahat mein ghol diya.
wo jaagenge to humko bhi neend nahin aayegi;
unke bina to abb ye tanhaaee bhi naa bhaayegi.
wo bhi to jaagti aankhon se sapne bunti hogi;
iss dil ki awaaz har dhadkan mein sunti hogi.
iss sab se anjaan ye duniya soti rahti hai;
in andheron ki tanhaae baar baar ye kahti hai...
wo intezaar karegi mera har pal;
uska aaj katega soch kar umeed bhara kall.
uski umeed par hi to mera kall jinda hai;
apni har aahat par ye dil sharminda hai.
aa jao hum ye daaman failaaye baithe hain;
dastak to do...hum palkein bichaaye baithe hain.
hum wahi..tum wahi... phir ye doori kyon hai;
jism ek,jaan ek..to ye majboori kyon hai?
apni chahat ke lamhe to apne saath rahenge;
taa umar mohabbat se bhare ye jazbaat rahenge.
iss duniya mein itna dard hai ye phir bhi soti hai....
ek-do chotti si baat to har jindagi mein hoti hai.
mere dil par haath rakkh kar bol do.."ye dil lagaa lo";
zaraa kareb aa kar bol do.."hamein apna banaa lo".

Last edited: