Aarthi aur Kute (dog) ke aarti

Status
Not open for further replies.

ompati

New member
Eek bar kisi ki aarthi ja rahi thi, uske aage aage ek Kuta (dog) jiske gale main mala thi aur ek aadmi uski aarti utar raha tha. Uske peecha ek lambi aadmion (gents) ke line lagi hui ghi. Ek Jat bhai ne dekha lekin kuch samajh mein nahi aaya. Socha, ja ke puch leta huin. Vo, aarti utarne wale aadmi ke pass gya aur bolya, bhai ek taraph to tera koi mar gaya, tu aarthi le ja rahya se, dusri taraph tu Kute ki aarti utar raha se, Ya ke baat se. Uske saath wala aadmi bolya ke bhai es Kute ne es aadmi ke Patni ko kat liya aur vo mar gai. Jat bhi aapni patni teh dukhi tha, jhet se bolya, bhai saab ek din ke liya apna kuta udhar de do. Vo aadmi bolya, yeh jo sare log line main leg re sain vo ke pagal sain, ja ke line main lag jya. Jab tera number aavega to kuta mil jyaga.

ompati
 
Shashi,
Ompatiji to shaayad 'joke' ki taraf hain! Aapka kayaa khyaal hai?!?!



Shashi Shokeen Ravindran (Dec 28, 2001 08:22 p.m.):
Ompatiji aap kis ki taraf hain...?
 
Rajesh:

Thi to mein bhi Ompatiji ki taraf...par daal me kuchh kala laage sai... (How do you know the woman died of dogbite and not something else?) just kidding...

Shashi
 
Shashi Shokeen Ravindran (Dec 28, 2001 08:22 p.m.):
Ompatiji aap kis ki taraf hain...?

Shashi Ji,

Vaise to main mazak ke mood mein huin lekin agar meri bari aai to zaroor marane wali ke taraf ho zaoongi.

Ompti
 
Shashiji,
Ek woman doctor ne report mein yahi bataayaa ki uski maut kutte ke kaatne se hui hae!!!!?!?!( another kidding!!)


Shashi Shokeen Ravindran (Dec 29, 2001 09:41 a.m.):
Rajesh:

Thi to mein bhi Ompatiji ki taraf...par daal me kuchh kala laage sai... (How do you know the woman died of dogbite and not something else?) just kidding...

Shashi
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top