amritameerut01
New member
Ek tau ka chhora jiska naam "Anand" tha , Ireland se aane wala tha apne gaon. Ab jis din Anand aane wala tha ussi din tau ne apne chhore ke aane ki khushi me daavat rakhi. Sab log aaye , dhol- band wala bhi bula rakha tha. Tau bola akk aisa bajaiyo ki jee khush ho jaave , basss sunke anand aa jaave.
Dhol- band walon ne ekdum badiya bajana shuru kara. Thodi der baad tau se pucha ki "Tau , anand aaya kya??? "
Tab tak Anand , gaon pahuncha nahi tha , tau uske hi intezar me tha , baar baar rasta dekhe tha. Tau bola " nahi aaya "
Dhol- band walon ne aur zor se aur achha bajaya . Dobara puchne par tau yehi bola ki "Anand nahi aaya"
Aise karte karte kaafi der ho gayi. Dhol- band wale sochne lage ki kitna bhi achha bajalo tau ne to anand hi naa aara. Ab unhe aa gaya gussa. Jaise hi dhol-band walon ne tau ku galiya nikalni shuru kari , itne me hi tau ko dur se hi Apna chhora Anand aata dikh gaya aur waise hi tau zor se khushi ke maare chilla pada " Anand aa gaya"..:rock
Sry , if this has been posted earlier...ke bera koi kahan se link dhoondh laave....