Arz Kiya Hai(Dedicated to all Software Pros!) :)

Status
Not open for further replies.

dkumar

New member
arz kiya hai......

Boss Aaya hamaare cubicle mein,
Gazab kee timing hai,
Kabhi hum boss ko,
Kabhi Computer pe chal rahe Game ko dekhte hain.


wah wah.....wah wah.....
arz kiya hai......


Mera Boss Gayaa Rangoon,
Wahaan se kiya hai telephooone,
Ke Software Crash hota hai,
Aur customer jor se rota hai


wah wah.....wah wah.....
arz kiya hai......


Do hee pal, Office mein,
Guzare hai Khush hal,
Ik Boss Ke Aaane ke pehle,
Ik Boss Ke Jaane ke baad.


wah wah.....wah wah.....
arz kiya hai......


Yoon-hee tum office mein aate ho,
Yaa koi kaam ka iraada hai ?
Fraud mere pehchaanta hee nahin,
Mera manager bhi kitna saadaa hai.


wah wah.....wah wah.....
arz kiya hai......


Hum hain S/W Engg. bekaar ke,
Hum Se kuchh na boliye,
Jo bhi project hame mile,
Bugs bhar ke code kiye.


wah wah.....wah wah.....
arz kiya hai......


Kar chale, implement, ye function saathion,
Ab tumhaare hawaale, core dump saathion.


wah wah.....wah wah.....
arz kiya hai......


E Mere s/w engg. , kahin aur chal,
Bugs se ye product bhar gaya,
Crash dekh ke customer dar gayaa.
 
Very Nice Dhanesh ji, lagtha hai bahaut mehnat ki hai aapne....
this one is too good :
"Yoon-hee tum office mein aate ho,
Yaa koi kaam ka iraada hai ?
Fraud mere pehchaanta hee nahin,
Mera manager bhi kitna saadaa hai."
 
The best Dhanesh, here is my favorite:

Do hee pal, Office mein,
Guzare hai Khush hal,
Ik Boss Ke Aaane ke pehle,
Ik Boss Ke Jaane ke baad.
 
Ha..ha...ha......

YagyaVir Singh Gaawar (Apr 22, 2003 11:29 a.m.):
The best Dhanesh, here is my favorite:

Do hee pal, Office mein,
Guzare hai Khush hal,
Ik Boss Ke Aaane ke pehle,
Ik Boss Ke Jaane ke baad.
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top