netrapalsingh
New member
Rajasthan Vidhansabha Adyaksh Sumitra Singh ke Rajneetik Jeewan ke 50 saal poore hone ke avsar par sumitra ji ho hardik badhaiyee or subhkamnaiye.
Sumitra ji ka janm 1930 me ek krantee karee kisaan Sh Ladoo ram ke gar phar hooa Ladoo ram jamidaree ke khilaf chale andolan ke prmukh the or sumitra ji ne bhee isme aham bhooomia nibhayee thee.
Rajasthan kee pahlee graduate mahila jat. Mai sure nahi hoo par aisa mana jata hai kee we India kee pahalee Jat Mahila graduate Sumitra ji thee. Sumitra Singh ne Maharani Collge Jaipur se Graduation kiya or post graduation Banasthali Vidya Peethe se kiya tha.
Sumitra ji apne jamane kee ek achee Ghudswaar bhee rah chuki hai. Ghudswaaree unhone Vanasthali Vidya peeth me seekhee the or yaha bhee kaha jata hai kee we do ghodo par panv rakh kar ghodo ko dodaya karti thee.
Isee ghoodswaree ke karan unhone Shorab Modi kee film Jhansi ki rani me ek aham kirdaar ka rol kiya tha.
1957 me sumitra ji rajnitik ne Sardar Harlal Singh ke netratv me apna jeevan shuru kiya unhone ne apna pratham election (M.L.A) congress party se Pilani Vidhansabha Kshetra se lada tha or iske bad unhone kabhi peeche mud kar nahi dekha. Shri Nathu Ram Mirdha bhee Sumitra Singh dusre guru mante jate the.
Ye poore jat smaj ke liye Gaurav kee bat hai kee ye Jat Mahila teen awardo se bhee sammanit ho chuki hai:-
1. Indira Priyadarshani Award
2. Glory of India
3. Bharat Jyoti Award
Aaj bhee sumitra jee ek sakhsam mahila kee tarah apne kartavya ko nibha rahi hai or jat samaj ka nam roshan kar rahee hai..............
Ayeeye ham sab ye kamna kare kee Sumitra us kalank ko do sake kee Rajasthan me 18 jile jat bahuly hone ke bawjood ek bhee jat CM nahi bana.
netra.