bit of shero-shayari....(GHAZAL-LAND)

Status
Not open for further replies.

jaatni

New member
i read it somewhere....

har haath milane waala humdum nahain hota,
kabhi dushman bhi hamdard se kam naahin hota.
aansoon dekhkar kisi ke pighal na jayeyaga,
har aansoon main aksar gam nahain hota.
mehboob ke waidon par na jao to acha hai,
waide to waide hain inmen dum nahain hota.
un par hua to zulm laga unko,
hum par ho jaye to sitam naahin hota.
berehmi ki saari simayen laangh gaye wo,
kya karen unse ab reham naahin hota.
doston ki haqiqat samazh yadi aa jaye,
doti-dushmani main phir weham naahin hota.
 
kool simran,
jo hum kare wafa to log usko bhi jafa kehtay hai ,
duniya ka yahi dastoor hai ki acchay ko bura kehtay hai,
zor farmatay hai khud , aur kush rehnay ki salah detay hai,
kaisay hai duniyabi log ya khuda , na jeenay detay hai na marnay detay hai.

( these line,s are composed by me )
 
nice composing....

Jatni as a Shayra.....Gr8!

Sujata Dahiya (Dec 23, 2002 05:21 a.m.):
kool simran,
jo hum kare wafa to log usko bhi jafa kehtay hai ,
duniya ka yahi dastoor hai ki acchay ko bura kehtay hai,
zor farmatay hai khud , aur kush rehnay ki salah detay hai,
kaisay hai duniyabi log ya khuda , na jeenay detay hai na marnay detay hai.

( these line,s are composed by me )
 
Jatland per gajloo ki ajab bahar agye.
Jatani- shayarani kis najakat sy gaa gae !!!!


kayamat nahi tao fhir aur kaya hh
ki lov pae taery- maera nam aa raha hh

KAyamat sy bahut pahaly
kayamat hamny dekhi hh.
Taera milkar bichhudd jana
Kayamat aur kaya? hogi ???????
 
Sujata its really gr8 what u have written....
each word has its own meaning......
 
Simran Ji and Sujata Ji, Chhaaaaaaa Geeeeeeee
Good Keep it Up!

Hamarey Samney Mehfil Mey Aaye Bethey Hain,
Apney Hathon Se Hamara Dil Dabaye Baithey Hain,
Hamney Poocha Kya Hai Hathon Mey,
To Bahana Bana Diya Ke Mehendi Lagaye Baithey Hain

Wo Katal Bhey Kartey Hain to Charcha Nahi Hoti,
Hum Aah Bhey Bhartey Hain to Ho Jaatey Hain Badnaam.

Humney Unkey yaad Mey Ro-2 Ke Tub Bhur Diye,
Yo Itney Jaalim Nikley Ke Usmey Naha kar Chal Diye.

Wo Hamarey Kabar Ke Diye Se Cigret Jala Kar Chal Diye,
Baki Jo Tel Bacha Wo Ser Pe Laga Ke Chal Diye.

Tu mere dil mein aise samaayi hai,
Jaise baajre ke khet mein bhains ghus aayi hai !!!

Hahaaaaaaaaa Bhai haamne ta iseye aawe Hain.
 
hey it some thing great u have written there my dear here is some thing i want to tell u
koi
cheeze nahi hai markaz(consistency) per ak roz idhar ak roz udhar nafrat se na dekho dushman ko shayad wo mohabbat kar bathay.
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top