rksehrawat
New member
Ek bar ek jat bhai apani ek nai rishtedari main chala gaya. Saath main uske nai bhi tha. Nai rishtedari thi, khatirdari main phataphat garma garm halwa hazir kiya gaya. Dono safar main thake huye the, bhukh bhi lagi thi isliye halwa aate hi dono nai chamach bhari aur muh main dhar liya. Halwa garam tha, na nigla ja aur na sharam ke mare thooka ja. Bura hall ho gya, aankha main aansu aa gaye. Nai nai himmat kari aur bola, "Chaudhary ke hua". Jat bola "bhai jab ghar tai chaala to thari chaudharan bimar si thi, yaad aagi". Nai ki aankha main bhi paani dekh kai jat bola "thakar tere kai huya". Nai bola "chaudhary maine tai laag sai chaudharan mar li".
JAT - Just And True.
JAT - Just And True.