deenu

Status
Not open for further replies.

shobhitdeshwal

New member
Hi folks... This is a poem.. which depicts a whole life story of a boy called deenu.... exciting all the while.... Hope you all enjoy....

uchh imarat ke neeche
baitha jo balak peeth tika
denu uska naam, abhaaga
diva swapan hai dekh raha

shyamal chehra sooni aakhein
sookhi si dubli kaaya
vay to abhi baalpan ki
par jaise umar bita aaya

laga taktaki aasman me
vah bete din khoj raha
ve din jab chhote se ghar me
'amma' thi aur 'bappa' tha

'bappa' pyara tha garib
par khoob parishram karta tha
apne pyare deenu ki
har ichha poori karta tha

yaad use aa raha ki bappa
kaise sabzi becha karta
nanha deenu bhi tutli boli se
grahak ka mann tha harta

do aane ti tobhi le lo
chaal aane te mile tamatal
lema o to le lo babu
nahi apna lachta naapo chal

mugdh bhaav se haath fer
sar par uska bappa kehta
'bahut bada sahab tu banna
sabzi bech raha kyun beta?'

aise hi sukh ke din unke
beet rahe the hanste gaate
kroor kaal sukh seh na saka yeh
pahunch gaya unke darvaze

Eik raat sote sote
pyare bappa ko dard hua
pet pakad kar laga cheekhne
arey bachao hay mara

aankh phati jaati thi uski
aur behal hua jata tha
amma jitna thi sambhalti
utna hi voh chillata tha

bhay-katar neend se jaga
deenu yeh sab dekh raha tha
bal-budhhi me kuch na aata
kewal bhayvash sisak raha tha

cheekein sunkar unka eik
padosi lakhhan dauda aaya
Maa se bola 'arey dard itna
ab tak na vaid bulvaya?'

main jata hun vaid bulane
vah isko aushdhi de dega
aur savere tak deenu ka
bappa achha ho jaayega

dheere dheere chillana
uske bappa ne band kiya
aankhein moondi pet pakadkar
shaant bhav se let gaya

tabhi vaid ko lekar ke
lakhhan aa pahuncha unke ghar
dekhi naadi aur vaid ne
haath firaya mastak par

bole 'yeh do pudiye hain
do goli hain rakh lena
abhi jagana theek nahi hai
jaage tab hi de dena'

vaid aur lakhhan tab
apne apne ghar ko laut gaye
deenu aur uski amma
apne bistar par let gaye

lekin eik karun kolahal
se uski jab aankh khuli
kuch bhi samjh na paaya vah
kyun ghar me itni bheed lagi

bappa leta tha zameen par
amma ki godi me rakh sar
roti thi amma pagal si
haath maar maar chhati par

kehti thi meri duniya
lut gayi jiyungi kaise
arey nishthur bhagwan aaj
kyun maang ponch li aise

vyakul deenu dauda dauda
maa ke paas chala aaya tha
zor zor se bol bol
bappa ko jagana chahta tha

chhote chhote haathon se maa ki
aankhon ko chhu poocha tha
'amma ri kyun roti
kya bappa ne tujhe peeta tha?'

kheench usko godi me
uski aama phir sisak padi
'hay abhagan ko tum kewal
yaad de gaye yeh apni'

dekha usne kuch padosi
aaye kuch pal khade rahe
fir sabne mil utha liya
bappa ko bahar chale gaye

unko jata dekh daud kar
aama chillayi thi
chaukhat par gir gayi
chot se moorcha ho aayi thi

nanha deenu sanmajh gaya tha
kuch anhona aaj ghata hai
phir amma ne bhi samjhaya
'bappa humse rooth gaya hai'

samjh gaya tha deenu ab
uska bappa us desh gaya hai
jahan chala jaane vala na
kabhi laut kar aa paya hai

use saath le majdoori
karne ko amma nikal padi
bhookh mitane ko ma-beta
rahe ghoomte gali gali

soch raha tha deenu voh bhi
to aisa hi ooncha ghar tha
bartan jahan maanjti amma
aur voh dekha karta tha

lekin khel adhoora ab bhi
kroor niyati ka chhota tha
eik sarp ne eik raat
uski amma ko kata tha

barah varshon ka deenu
duniya me hua akela ab
eik chit ki bhanti aaj voh
dekh raha yeh baatein sab

bhaavon me khoye deenu ne
dekha eik naari aati hai
liye haath me thal ki jisme
saji dhoop aur baati hai

aur sambhale chandn akshat
agarbatti phool malayein
chali ja rahi dheeme dheeme
bol rahi thi ved richayein

pagal deenu bhool gaya
amma jag me ab nahi rahi hai
usko laga ki jaise pooja
karna amma aaj chali hai

palak jhapakte vo dauda
naari ka aanchal pakad liya
bhool gaya sab, 'maa' kehkar
peeche se usko jakad liya

vah abla apne bete ka
shagun mannane jaati thi
rah rok deenu ne ashagun kiya
krodh me ab voh aayi thi

daant bheech kar thappad maara
aur zor se chillayi
'jaane kiski paap nishani
ban badha pooja me aayi'

deenu ki ab aanhon me se
neer chalak aaya tha
us naari me to aama ki
hi dekh chavi voh aaya tha

'Maa' itni nishtur na thi
socha aur phoot gaya
deenu ki aankhon ne
jo dekha sapna toot gaya

aaj deenu anath hua to
paap nishani kehte hain
kaise kaise log jagat me
ban rishi muni rehte hain

deenu kaal ke haathon luta
pita ab roti ko bhooka baitha tha
uchha imarat ke neeche
peeth tika voh baitha tha

Cheers!!

Shobhit Deshwal.
 
Hi folks... This is a poem.. which depicts a whole life story of a boy called deenu.... exciting all the while.... Hope you all enjoy....

uchh imarat ke neeche
baitha jo balak peeth tika
denu uska naam, abhaaga
diva swapan hai dekh raha

shyamal chehra sooni aakhein
sookhi si dubli kaaya
vay to abhi baalpan ki
par jaise umar bita aaya

laga taktaki aasman me
vah bete din khoj raha
ve din jab chhote se ghar me
'amma' thi aur 'bappa' tha

'bappa' pyara tha garib
par khoob parishram karta tha
apne pyare deenu ki
har ichha poori karta tha

yaad use aa raha ki bappa
kaise sabzi becha karta
nanha deenu bhi tutli boli se
grahak ka mann tha harta

do aane ti tobhi le lo
chaal aane te mile tamatal
lema o to le lo babu
nahi apna lachta naapo chal

mugdh bhaav se haath fer
sar par uska bappa kehta
'bahut bada sahab tu banna
sabzi bech raha kyun beta?'

aise hi sukh ke din unke
beet rahe the hanste gaate
kroor kaal sukh seh na saka yeh
pahunch gaya unke darvaze

Eik raat sote sote
pyare bappa ko dard hua
pet pakad kar laga cheekhne
arey bachao hay mara

aankh phati jaati thi uski
aur behal hua jata tha
amma jitna thi sambhalti
utna hi voh chillata tha

bhay-katar neend se jaga
deenu yeh sab dekh raha tha
bal-budhhi me kuch na aata
kewal bhayvash sisak raha tha

cheekein sunkar unka eik
padosi lakhhan dauda aaya
Maa se bola 'arey dard itna
ab tak na vaid bulvaya?'

main jata hun vaid bulane
vah isko aushdhi de dega
aur savere tak deenu ka
bappa achha ho jaayega

dheere dheere chillana
uske bappa ne band kiya
aankhein moondi pet pakadkar
shaant bhav se let gaya

tabhi vaid ko lekar ke
lakhhan aa pahuncha unke ghar
dekhi naadi aur vaid ne
haath firaya mastak par

bole 'yeh do pudiye hain
do goli hain rakh lena
abhi jagana theek nahi hai
jaage tab hi de dena'

vaid aur lakhhan tab
apne apne ghar ko laut gaye
deenu aur uski amma
apne bistar par let gaye

lekin eik karun kolahal
se uski jab aankh khuli
kuch bhi samjh na paaya vah
kyun ghar me itni bheed lagi

bappa leta tha zameen par
amma ki godi me rakh sar
roti thi amma pagal si
haath maar maar chhati par

kehti thi meri duniya
lut gayi jiyungi kaise
arey nishthur bhagwan aaj
kyun maang ponch li aise

vyakul deenu dauda dauda
maa ke paas chala aaya tha
zor zor se bol bol
bappa ko jagana chahta tha

chhote chhote haathon se maa ki
aankhon ko chhu poocha tha
'amma ri kyun roti
kya bappa ne tujhe peeta tha?'

kheench usko godi me
uski aama phir sisak padi
'hay abhagan ko tum kewal
yaad de gaye yeh apni'

dekha usne kuch padosi
aaye kuch pal khade rahe
fir sabne mil utha liya
bappa ko bahar chale gaye

unko jata dekh daud kar
aama chillayi thi
chaukhat par gir gayi
chot se moorcha ho aayi thi

nanha deenu sanmajh gaya tha
kuch anhona aaj ghata hai
phir amma ne bhi samjhaya
'bappa humse rooth gaya hai'

samjh gaya tha deenu ab
uska bappa us desh gaya hai
jahan chala jaane vala na
kabhi laut kar aa paya hai

use saath le majdoori
karne ko amma nikal padi
bhookh mitane ko ma-beta
rahe ghoomte gali gali

soch raha tha deenu voh bhi
to aisa hi ooncha ghar tha
bartan jahan maanjti amma
aur voh dekha karta tha

lekin khel adhoora ab bhi
kroor niyati ka chhota tha
eik sarp ne eik raat
uski amma ko kata tha

barah varshon ka deenu
duniya me hua akela ab
eik chit ki bhanti aaj voh
dekh raha yeh baatein sab

bhaavon me khoye deenu ne
dekha eik naari aati hai
liye haath me thal ki jisme
saji dhoop aur baati hai

aur sambhale chandn akshat
agarbatti phool malayein
chali ja rahi dheeme dheeme
bol rahi thi ved richayein

pagal deenu bhool gaya
amma jag me ab nahi rahi hai
usko laga ki jaise pooja
karna amma aaj chali hai

palak jhapakte vo dauda
naari ka aanchal pakad liya
bhool gaya sab, 'maa' kehkar
peeche se usko jakad liya

vah abla apne bete ka
shagun mannane jaati thi
rah rok deenu ne ashagun kiya
krodh me ab voh aayi thi

daant bheech kar thappad maara
aur zor se chillayi
'jaane kiski paap nishani
ban badha pooja me aayi'

deenu ki ab aanhon me se
neer chalak aaya tha
us naari me to aama ki
hi dekh chavi voh aaya tha

'Maa' itni nishtur na thi
socha aur phoot gaya
deenu ki aankhon ne
jo dekha sapna toot gaya

aaj deenu anath hua to
paap nishani kehte hain
kaise kaise log jagat me
ban rishi muni rehte hain

deenu kaal ke haathon luta
pita ab roti ko bhooka baitha tha
uchha imarat ke neeche
peeth tika voh baitha tha

Cheers!!

Shobhit Deshwal.


SHOBHI BHAI,

WAH, WAH...
WAH, WAH...
WAH,WAH,WAH,WAH

KYA KAVITA ,KYA KARUNA ,
AAPKI SRIJANSHEELTA( CREATIVITY ) KAMAL KI HEI.

LAGE RAHO.......

J A T
 
Shibhit, bahut hi badhiya kavita...Agar aap isse Haryanvi me likh sakte hain to mein aapko Lunch or evening kabab treat promise karta hoon! Go, Shobhit...
 
Thanks Panwar Saheb, Jitendra, Ritu bebbe, MP Singh, Rupi bro.. and Monika Bebbe....
@ MP Singh....
Bhai manne haryanvi nahi aati!!! na te likh bhi deta... seekh raha hun... arr chuute ee pehla kaam haryanvi me likhne ka karunga!!!
@ Ritu Chaodhary
Bebbe... chal... ultimately likhne vaale ko to tanne acknowledge kar hi liya.... and to your surprize voh main hi hun :)

Cheers!!

Shobhit Deshwal
 
Hi folks... This is a poem.. which depicts a whole life story of a boy called deenu.... exciting all the while.... Hope you all enjoy....

uchh imarat ke neeche
baitha jo balak peeth tika
denu uska naam, abhaaga
diva swapan hai dekh raha

shyamal chehra sooni aakhein
sookhi si dubli kaaya
vay to abhi baalpan ki
par jaise umar bita aaya

laga taktaki aasman me
vah bete din khoj raha
ve din jab chhote se ghar me
'amma' thi aur 'bappa' tha

'bappa' pyara tha garib
par khoob parishram karta tha
apne pyare deenu ki
har ichha poori karta tha

yaad use aa raha ki bappa
kaise sabzi becha karta
nanha deenu bhi tutli boli se
grahak ka mann tha harta

do aane ti tobhi le lo
chaal aane te mile tamatal
lema o to le lo babu
nahi apna lachta naapo chal

mugdh bhaav se haath fer
sar par uska bappa kehta
'bahut bada sahab tu banna
sabzi bech raha kyun beta?'

aise hi sukh ke din unke
beet rahe the hanste gaate
kroor kaal sukh seh na saka yeh
pahunch gaya unke darvaze

Eik raat sote sote
pyare bappa ko dard hua
pet pakad kar laga cheekhne
arey bachao hay mara

aankh phati jaati thi uski
aur behal hua jata tha
amma jitna thi sambhalti
utna hi voh chillata tha

bhay-katar neend se jaga
deenu yeh sab dekh raha tha
bal-budhhi me kuch na aata
kewal bhayvash sisak raha tha

cheekein sunkar unka eik
padosi lakhhan dauda aaya
Maa se bola 'arey dard itna
ab tak na vaid bulvaya?'

main jata hun vaid bulane
vah isko aushdhi de dega
aur savere tak deenu ka
bappa achha ho jaayega

dheere dheere chillana
uske bappa ne band kiya
aankhein moondi pet pakadkar
shaant bhav se let gaya

tabhi vaid ko lekar ke
lakhhan aa pahuncha unke ghar
dekhi naadi aur vaid ne
haath firaya mastak par

bole 'yeh do pudiye hain
do goli hain rakh lena
abhi jagana theek nahi hai
jaage tab hi de dena'

vaid aur lakhhan tab
apne apne ghar ko laut gaye
deenu aur uski amma
apne bistar par let gaye

lekin eik karun kolahal
se uski jab aankh khuli
kuch bhi samjh na paaya vah
kyun ghar me itni bheed lagi

bappa leta tha zameen par
amma ki godi me rakh sar
roti thi amma pagal si
haath maar maar chhati par

kehti thi meri duniya
lut gayi jiyungi kaise
arey nishthur bhagwan aaj
kyun maang ponch li aise

vyakul deenu dauda dauda
maa ke paas chala aaya tha
zor zor se bol bol
bappa ko jagana chahta tha

chhote chhote haathon se maa ki
aankhon ko chhu poocha tha
'amma ri kyun roti
kya bappa ne tujhe peeta tha?'

kheench usko godi me
uski aama phir sisak padi
'hay abhagan ko tum kewal
yaad de gaye yeh apni'

dekha usne kuch padosi
aaye kuch pal khade rahe
fir sabne mil utha liya
bappa ko bahar chale gaye

unko jata dekh daud kar
aama chillayi thi
chaukhat par gir gayi
chot se moorcha ho aayi thi

nanha deenu sanmajh gaya tha
kuch anhona aaj ghata hai
phir amma ne bhi samjhaya
'bappa humse rooth gaya hai'

samjh gaya tha deenu ab
uska bappa us desh gaya hai
jahan chala jaane vala na
kabhi laut kar aa paya hai

use saath le majdoori
karne ko amma nikal padi
bhookh mitane ko ma-beta
rahe ghoomte gali gali

soch raha tha deenu voh bhi
to aisa hi ooncha ghar tha
bartan jahan maanjti amma
aur voh dekha karta tha

lekin khel adhoora ab bhi
kroor niyati ka chhota tha
eik sarp ne eik raat
uski amma ko kata tha

barah varshon ka deenu
duniya me hua akela ab
eik chit ki bhanti aaj voh
dekh raha yeh baatein sab

bhaavon me khoye deenu ne
dekha eik naari aati hai
liye haath me thal ki jisme
saji dhoop aur baati hai

aur sambhale chandn akshat
agarbatti phool malayein
chali ja rahi dheeme dheeme
bol rahi thi ved richayein

pagal deenu bhool gaya
amma jag me ab nahi rahi hai
usko laga ki jaise pooja
karna amma aaj chali hai

palak jhapakte vo dauda
naari ka aanchal pakad liya
bhool gaya sab, 'maa' kehkar
peeche se usko jakad liya

vah abla apne bete ka
shagun mannane jaati thi
rah rok deenu ne ashagun kiya
krodh me ab voh aayi thi

daant bheech kar thappad maara
aur zor se chillayi
'jaane kiski paap nishani
ban badha pooja me aayi'

deenu ki ab aanhon me se
neer chalak aaya tha
us naari me to aama ki
hi dekh chavi voh aaya tha

'Maa' itni nishtur na thi
socha aur phoot gaya
deenu ki aankhon ne
jo dekha sapna toot gaya

aaj deenu anath hua to
paap nishani kehte hain
kaise kaise log jagat me
ban rishi muni rehte hain

deenu kaal ke haathon luta
pita ab roti ko bhooka baitha tha
uchha imarat ke neeche
peeth tika voh baitha tha

Cheers!!

Shobhit Deshwal.
BHOT KAAMAL LAGI.......
JAT BALWAN JAI BHAGWAN.....................
 
Thanks Panwar Saheb, Jitendra, Ritu bebbe, MP Singh, Rupi bro.. and Monika Bebbe....
@ MP Singh....
Bhai manne haryanvi nahi aati!!! na te likh bhi deta... seekh raha hun... arr chuute ee pehla kaam haryanvi me likhne ka karunga!!!
@ Ritu Chaodhary
Bebbe... chal... ultimately likhne vaale ko to tanne acknowledge kar hi liya.... and to your surprize voh main hi hun :)

Cheers!!

Shobhit Deshwal
bhai deshwal in haryana vallo ke cakker me aake apni bhi mat kho diye enko to savad koni aata up ke bhasa me
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top