Deshi Bear (Rabdee) for health

Status
Not open for further replies.

netrapalsingh

New member
members, Desi Bear (Rabdee), ye koi bear ka naya brand nahi hai ye ek amrat hai garmi se nijad pane ke liye, par har kisi kee kismat me ye nahi hai
or jiske paas hai uska to kahan hee kya.

Rabdee Rajasthan ka Pramukh Pey hai jo kee kafee sasta bhee hai koi mahnat bhee nahi lagtee is par or fayde hee fayde:-

1. Kabhee Loo Nahi Lagegi.
2. Blood pressure nahi hoga
3. Asthama me labhdayak
4. Bhook achee lagee gee
5. Pet kee har bimaree me labh dayak

Rajasthn me jaha 45-50 degree temperature rahta hai waha ye wardaan hai loo ke thapado me bhee log isko pee kar dopahar me araam se sote hai.

Rabdee banee kee vidhi:-

Bajre or Moth ko piswa lo or chach me dalkar kuch der haath se hilaao, fir
dhoop me chod do, 4 ya 5 ghanto ke bad isko ublte panee me dal do jisse
isme doo teen oofaan aajaye. Rabdee tayaar.

Agar Bajre ka ataa ya moth nahi mile to genhoo ka ataa bhe chal sakta hai
par jo maja bajara or moth ke ate me hai wo nahi milega.

jo pahlee bar rabdee piyega, ek gilass me behosh neend memeree garantee hai. or aaj ye fivestar hotlo me mee availble hai, or videshi parytak bhee iska lutaf utha rahe hai.

netra
 
Last edited:
rabaree's taste...........

raam raam.........

aapne jo rabaree ka taste bataya hai bahut hi lajawab hai..........

me to isko har rooz use karta hun......... really good.........

mazedaar hai............:):):)
 
Sahi kaha Bhaiya!!

Par kyun tang karte ho ?

Kya fayda hai bhai ji aise tang karne mein aapko maja aata hai kya? :(

Ab kaha rabree aur kaha chhachh?
Kyo yaad dilate ho, Jo chij door door tak nahin hai naseeb mein ab uski?

:(
 
Par kyun tang karte ho ?

Kya fayda hai bhai ji aise tang karne mein aapko maja aata hai kya? :(

Ab kaha rabree aur kaha chhachh?
Kyo yaad dilate ho, Jo chij door door tak nahin hai naseeb mein ab uski?

:(

hahahaha theek kaha mahender kaha chaach mujhee achee tarah yad ek bar ham do dost scooter par doodo gaye the raste me koi gaon tha waha ka ed doodh wala tha jo hame janta tha wo gar le gaya or unse adhe ghade par ek tarf se seekee hooyee rote garm garm or uupar se ghee or saath me khati khadi usme bhee ghee wo swad mai aaj tak yad rakhta hoo...................

netra......
 
NetarPal Ji, Maine bhi Pilani ki Raabdi kha rakhi sai. Garmi to laagya aie na karti, Lunch kare peechhe padhate padhate so jaya karta. 2-3 baar aisa hoya mere saath. Aur Rajasthan ke traditional curries (Gatta, Daal Bhati churma etc) wo to aur bhi majedaar laagya karte. Sooon mai Rohtak ka, Masala khan ki aadat kam sai, Jyada masale se mouth mai chhale bhi ho jyaye karte, par fer bhi sabji chhodya nahi karta mai.
 
yeah..

raabdi is realy gud 4 health,,i was an insomniac,,bt now i sleep for looooooong hours at a stretch after 2 glasses of it ,,made by my mom-in law!
ts simply amazing!!:)
arr missi rotti
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top