Dil ke kissi konne se

Status
Not open for further replies.
Es muskurahat par ye zindagi meharbaan
En sapno par hi jee raha hai har insaan
Kyon gila karte hain aap ees zindagi se
Jo khushiyan baante us pe to zindagi kurbaan

Is muskurahat pe hue hain kuch log meharbaan
Honge kuch log humare sapno ke bhi kadardaan
kaise kare gila, zindagai humari hi to hai
Khushiyan bhikeyrate hue hum khushiyon pe kurbaan
 
Is muskurahat pe hue hain kuch log meharbaan
Honge kuch log humare sapno ke bhi kadardaan
kaise kare gila, zindagai humari hi to hai
Khushiyan bhikeyrate hue hum khushiyon pe kurbaan



Chunn lo unn meherbanno ko jo ho gaye meherbann
Koi kissi pe meherbaniya aaj karta hei kahan
Pai hei kismat tummne baddi achhi merre yaar
Nahin tou iss kalyug mei kaun deta hei kissi ko apna dilo-jaan
 
Chunn lo unn meherbanno ko jo ho gaye meherbann
Koi kissi pe meherbaniya aaj karta hei kahan
Pai hei kismat tummne baddi achhi merre yaar
Nahin tou iss kalyug mei kaun deta hei kissi ko apna dilo-jaan

un meharbaano ko koi kaise chunne
jo hai unhi ki cahhat ke kadardaan
kismat ke lekho ko wo kaise sune
jo banate hai gumo ko bhi apna mehmaan
 
un meharbaano ko koi kaise chunne
jo hai unhi ki cahhat ke kadardaan
kismat ke lekho ko wo kaise sune
jo banate hai gumo ko bhi apna mehmaan

Kaun kahta hai yahan ki koi meharbaan chuno
Jo dil mein rahne lage aisa koi mehmaan chuno
Hansi milti ho agar to kisko parwah hai gum ki
Jo khushiyan de sake aisa koi kadardaan chuno
 
Humney to jaltey Chiraag dekhey unki rahon me
sakaar hotey sapney dekhey unki aankhon me
Mohatbbat karney ka faisla liya mere dil ne
Gum nahi jo zindagi gujrey aahon me

this thread is also very enjoyable...so keep on moving this one also and all are writing very well here as well....tou iss thread pe bhi sab likhte rahiye :) :) :) :) :)
 
Khamosh thhe tou hum ko Magroor samajh liya
Chup jo huwe tou Majboor samajh liya
Hum nei tou aap ko sansson mei bhi bassaya
Aap nei tou firr bhi duur samajh liya.
 
Humari muskurahat me duniya ne apne gam ka marham dekha
Kuch logo ne humari aankhon me umeedo ka daaman dekha
Chale the hum inhi logo me khushiyaan bikeyrane
Unki khushiyon ki raaho me apni khushiyon ka bikhra dekha




Merri khushi ke baddle tum mujhjhe apne gamm de dou
Jo dil ka fassana hei wo sab keh dou
Hummari tou duwa hei uppar wale se keval
Tum appne dil mei thoddi jagah de dou.
 
Merri khushi ke baddle tum mujhjhe apne gamm de dou
Jo dil ka fassana hei wo sab keh dou
Hummari tou duwa hei uppar wale se keval
Tum appne dil mei thoddi jagah de dou.

Bade nasamajh ho, yeh kiya mangte ho
hamare dil me thodi si jagah mangte ho
ess dil me ne jane kitne dafan hue hain
humse upne dafan ki jagah mangte ho

RK^2
 
Bade nasamajh ho, yeh kiya mangte ho
hamare dil me thodi si jagah mangte ho
ess dil me ne jane kitne dafan hue hain
humse upne dafan ki jagah mangte ho

RK^2


Nasamajh nahin hain hum to bus deewane hain
Aapke dil mein ho jana hum dafan chaahte hain
Agar ye ahsaan bhi na kar sako hum pe ae sangdil
Hamaari maut par hum aapse kafan chaahte hain
 
Bade nasamajh ho, yeh kiya mangte ho
hamare dil me thodi si jagah mangte ho
ess dil me ne jane kitne dafan hue hain
humse upne dafan ki jagah mangte ho

RK^2



Agar ittne daffan ho chuke tou ek aur sahi
Kya tumhare dil mei na abb khali jagah rahi
Hum tu ghar se nikle thhe ye faissla kar ke
Ya tou nazzrein nahin ya nazzara nahin.
 
Nasamajh nahin hain hum to bus deewane hain
Aapke dil mein ho jana hum dafan chaahte hain
Agar ye ahsaan bhi na kar sako hum pe ae sangdil
Hamaari maut par hum aapse kafan chaahte hain



Deewane ho kar bhi baat kamjor karte ho
Iqballe mohobbat se dekho kitne dartte ho
Hum nei tou kaffan sirr pe uthha kar iqbbale mohobat kiya tha
Aur tum bewajah marne ki baat karte ho.
 
Deewane ho kar bhi baat kamjor karte ho
Iqballe mohobbat se dekho kitne dartte ho
Hum nei tou kaffan sirr pe uthha kar iqbbale mohobat kiya tha
Aur tum bewajah marne ki baat karte ho.


Kitne dilwaale fanaa ho gaye mohabbat par
Marne se darne waale mohabbat nahin karte
Agar dil hota unke paas to pighal hi jaata
Aise paththron ki hum bhi ibaadat nahin karte
 
Makhi chadhi paahad pe, marne ke liye
Makhi chadhi paahad pe, marne ke liye
Makhi chadhi paahad pe, marne ke liye
Neeche khada Kapil Dev, catch karne ke liye

Waah Waah Waah Waah Waah!
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top