dil ki kalam se..........

Status
Not open for further replies.

jat2007dahiya

New member
main likhta tha jab tak mulakat na thi...
main liktha tha jab tak koi baat na thi.

maine likhna chood diya jab tak wo raat na thi..........
kalam hath mein thi or ..khali dawat(without syahi) thi..

abhi ashq bahana baki hai..........
khud ko khak mein milan baki hai...

phir or syahi banegi ashq or khak se...
phir ek afsan banega uss rakh se.......

Bin bulaaye meri zindagi mein,
aise kyon aa gaye ho.

Tujh mein koi khaas baat bhi nahi,
Phir bhi aise kyon bhaa gaye ho.

Duniya meri wiraan to nahi thi,
Iss ko aa kar aise kyon sajaa gaye ho.

Hamari Ankhon mein yun dekh kar,
neend kyun uda le gaye ho.

Umeed nahi jiss sadaa ki mujhko,
Mujhe sadaa aisi kyon sunaa gaye ho.

Khilti bahaar mein khizaa ki umeed nahi,
Phir barsaat ki taraah aise kyon chaa gaye ho.

Na akelepan ki shiqayat, naa hi tanhai ka ilm,
Phir meri rooh mein aise kyon samaa gaye ho.

Bin bulaaye meri zindagi mein,
Aise kyon aa gaye ho.



toot jate hain sabhi rishte magar,
dil se dil ka rishta apni jagah.
dil ko hai tujhe na paane ka yakin,
tujhse milne ki dua apni jagah...

Ek shaam aati hai tumhari yaad lekar,
Ek shaam jati hai tumhari yaad lekar,
hum ko us shaam ka intezaar hai jo aaye
tumhey saath lekar..........


: Safar me dhoop to hogi jo chal sako to chalo,
Sabhi hai bhid me tum bhi nikal sako to chalo
Yaha koi kisi ko rasta nahi deta,
Mujhe gira ke tum sambhal sako to chalo
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top