Aa bhai chotte chaudhary........ Joginder, Prashant, Ritika, Neelam, Jitendra....
yah te padh li..... Ib eik hor keh dun jara..... mhare chhote chaudhry ka hor jee sa aa jyaga.... bera na kit jya rya hai!!!!
Din nikalte hi kyun thak kar so gaya hai aadmi??
Khud hi khud se ajnabi sa ho gaya hai aadmi.....
Hai hawa sehmi hui aur raaste sunsaan hain...
Manzilon tak ja rahi har rah hi veeran hai.....
Manzilon ka pata khud kho gaya hai aadmi...
Khud hi khud se ajnabi sa ho gaya hai aadmi....
Khudparasti ka andhera is kadar kaayam kiya....
harr koi apni mazaron pe jalata hai diya....
Apni mayyat khud yahan par dho raha hai aadmi...
Khud hi khud se ajnabi sa ho gaya hai aadmi.....
Pyar se senchi bahut nazuk gulon ki daaliyan....
par harr ik shaakh pe ugti ja rahi chingariya.....
Bhool se khud dhatoora bo gaya hai aadmi....
Khud hi khud se ajnabi sa ho gaya hai aadmi...
Cheers!!
Shobhit Deshwal.