A poem for you
kuch aankahin aisee hotee hain..
go her dam hansti rehti hain..
per aksar dhoka daitee hain go bai-niaaz see lagti hain..
inn ankhon ki gehraai mai laikin
veraanaiaan see rehti hain.
udaasiaan see dikhtee hain.
muskuraati in aankhon k peechay kya koi jaanay...
dafan hon kitnay hee zakham puraanay...
muskuraati hain yeh aankhain inn hee ko chupaanay ko kaisay koi
jaanay.
in aankhon ki jo gehraayon mai utarna chaaho.
to yaad rakhna khayaal rakhna.. tukrey-tukrey hue hai saare khawaab
yahan.
inn tukdoon ko sametnay ka hosla ho to..
utar jaana gehraaion mai!
jo gehraai mai utarna chaaho..
to yaad rakhna khayaal rakhna..
bin roey hooway aanson ka toofan koi kahin chupa hua ho ga.
burson puraanay zakham woh saaray..
umar guzaari jin ko cupaatay chupaatay
toofaan bun kur baras parain to..
na thum sukain gain..
na ruk sukain gain
iss toofan ki shiddat ka saamna kurnay ka hosla ho to..
utar jaana gehraaion mai!!