amritameerut01
New member
Koi dewana kahta hai, koi pagal samjhta hai.
magar dharti ki bachaini ko bas badal samjhta hai.
mai tujhse dur kaisa hoon, tu mujhse dur kaisi hai,
ye tera dil samjhta hai ya mera dil samjhta hai.
Mohabbat ek ehsaason ki paawan si kahani hai,
kabhi kabira dewana tha, kabhi meera dewani hai.
yahan sab log kahte meri ankhon mein aansun hain,
jo tu samjhe to moti hai, jo naa samjhe to paani hai.
Samundar peer ka andar hai lekin ro nahi sakta,
ye aansu pyar ka moti hai isko kho nahi sakta.
meri chahat ko dulhan tu bana lena magar sunle,
jo mera ho nahi paaya, wo tera ho nahi sakta.
bhramar koi kumudni par machal baitha to humgama,
hamare dil mein koi khawab pal baitha to humgama.
abhi tak doob kar sunte sab kissa mohabbat ka,
mai kisse ko haquekat mein badal baitha to hungama.