Ek pagli si ladki

Status
Not open for further replies.
Kuo har waqt khud sa laadte ho tum?
kuo har waqt dil ko tadpate ho tum?

agar huma bewafa khate ho tum
to khud waafa kuo nahi karte tum?
ilzaama humari mohabbat par laaga kar chaale jaate ho
kabhi moud kar ek baar dekha to karo
roota woh hi hai jo waafa karta hai
bewaafa ko koi fark paadta nahi!!!
 
Ankhon mein raha dil mein utar kar nahi dekha,
Kishti k musafir ne samundar nahi dekha.

Bewaqt agar jaaunga sab chonk padengen,
Ek umar hui din mein kabhi ghar nahi dekha.

Jis din se chala hoon meri manzil pe nazar hai,
Aankhon ne kabhi meel ka pather nahi dekha.

Ye fool mujhe koi virasat mein mile hain,
Tumne mera kaanton bhara bistar nahi dekha.

Pather mujhe kahta hai mera chahne wala,
Mai mom hoon usne mujhe chukar nahi dekha.
 
Koi dewana kahta hai, koi pagal samjhta hai.
magar dharti ki bachaini ko bas badal samjhta hai.
mai tujhse dur kaisa hoon, tu mujhse dur kaisi hai,
ye tera dil samjhta hai ya mera dil samjhta hai.

Mohabbat ek ehsaason ki paawan si kahani hai,
kabhi kabira dewana tha, kabhi meera dewani hai.
yahan sab log kahte meri ankhon mein aansun hain,
jo tu samjhe to moti hai, jo naa samjhe to paani hai.

Samundar peer ka andar hai lekin ro nahi sakta,
ye aansu pyar ka moti hai isko kho nahi sakta.
meri chahat ko dulhan tu bana lena magar sunle,
jo mera ho nahi paaya, wo tera ho nahi sakta.

bhramar koi kumudni par machal baitha to humgama,
hamare dil mein koi khawab pal baitha to humgama.
abhi tak doob kar sunte sab kissa mohabbat ka,
mai kisse ko haquekat mein badal baitha to hungama.

Just add a few lines to this awesome poem...

By Dr. Kumar Vishwaas....


तुम्हारे पास हूँ लेकिन जो दूरी है समझता हूँ

तुम्हारे बिन मेरी हस्ती अधूरी है समझता हूँ

तुम्हे मै भूल जाऊँगा ये मुमकिन है नही लेकिन

तुम्ही को भूलना सबसे ज़रूरी है समझता हूँ
 
Ek masoom si mohabbta ka bas itna sa fasana hai,
Kagaz ki haveli hai baarish ka zamana hai.
Kya shart-e-mohabbat hai,
Kya shart-e-zamana hai.
Awaaz bhi zakhmi hai aur wo geet bhi gaana hai.
Us paar utarne ki umeed bahut kam hai,
Kashti bhi purani hai, tufan ko bhi aana hai.
Samjhe ya naa samjhe wo andaz mohabbat ke,
Ek khaas shaksh ko aankhon se ek sher sunana hai.
Bholi si ada, koi fir ishq ki zidd par hai,
Fir aag ka dariya hai, aur doob ke jaana hai.
 
Jaise chahte thae hum unhe,
woh bhi humein chahte toh kya baat hoti,
paane ka armaan toh tha,
bin maange mil jaate toh kya baat hoti,
Is dil mein pyaar tha kitna,
woh jaaan jaate toh kya baat hoti,
humne manga tha unhe khuda se,
woh bhi hume maang lete toh kya baat hoti…


Ye yaad hai tumhari,yaa yado mein tum ho..
Ye khwab hai tumhare,ya khwabo mein tum ho...
Hum nahi jante..Humein bas itna bata do ki........
Hum Jaan Hai Tumhari Ya Humari jaan Tum Ho
 
Kal raat shararat ye mere sath hui,
Mera ghar mitti ka tha, mere hi ghar barsaat hui.
Uski bhi zidd hai , bijliyan girane ki
Aur hamari bhi zidd hai, wahin aashian banane ki.
 
Thukrakar usne mujhko kaha muskura ab
Hum hans diye aakhir sawaal uski khushi ka tha
Maine khoya jo mera tha hi nahi kabhi
Usne khoya jo sirf usi ka tha!!!


wo kehte hai ki agar nasib hoga mera to,
hum unhe zaroor paayenge,
hum puchte hai unse,
agar hum badnaseeb hue to,
unke bina kaise jee paayenge.


zulm zamane ka seh liya tere waste ek aah tak na nikli
par teri berukhi se to aasoon ke jaga ankh se khoon nikli
jiskeliye thukraya sare zamane ko,
pure duniya ko chod kar ek wahi bewafa nikli?
 
ek deewar kya giri mere kachche makan ki

.....logon ne zahen se raste bana liye ..:)
 
Aansu ko bahot samjhaya tanhai me aaya karo,
Mehfil me hamara mazak na udaya karo,
Ispar aansu tadap kar bola,
Itne logo me apko tanha paate hai,
Isliye chale aate hai!
 
Ho sakta hai humne anjane mein unhe rula diya,
unhone duniya k kahne par hume bhula diya,
hum to waise bhi akele the,
kya hua , agar unhone ehsas dila diya.
 
Naa thi jise mere pyar ki kadra,
ittifaq se ussi ko chah rahe the hum.
Ussi diye ne jalaya mere haathon ko ,
jisko hawa se bacha rahe the hum.
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top