oohho main bhul gaya tha
ye lo aangal bhasha me
Singer : Abida Parveen
Composer : Muzaffar Ali
O des se aane waale bata
O des se aane waale bata
Kis haal men haiN yaaraan-e- watan
Aawara-e -GHurbat ko bhi suna
Kis raNg men haiN kin’aan-e-watan
Woh baaGH-e- watan, firdaus-e- watan
Woh sarv-e-watan, rehaan-e-watan
O des se aane waale bata
O des se aane waale bata
Kya ab bhi watan men waise hi
Sar-mast nazaare hote haiN
Kya ab bhi suhaani raatoN ko
Woh chaaNd sitaare hote haiN
Hum khel jo khela karte the
Kya ab bhi woh saare hote haiN
O des se aane waale bata
kyaa ham ko vatan ke baaGhoN kii mastaanah fazaaeN bhuul gaiiN
barkhaa kii bahaareN bhuul gaiin, saavan kii ghaTaaeN bhuul gaiiN
daryaa ke kinaare bhuul gae, jangal kii havaaeN bhuul gaiiN
kyaa gaaNo me ab bhii vaisii hii mastii bharii raateN aatii haiN
dehaat kii kam-sin maah-vasheN taalaab kii jaanib jaatii haiN
awr chaaNd kii saadah raushanii meN rangiin taraane gaatii haiN
kyaa gaaNo pih ab bhii saavan meN barkhaa kii bahaareN aatii haiN
ma’suum gharoN se bhor bahe chakkii kii sadaaeN aatii haiN
awr yaad meN apne maike ke bichhaRii huii sakhiyaaN gaatii haiN
kyaa ab bhii puraane khanDaroN par tariiKh kii ‘ibrat taarii hai
an-puuran ke ujaRe mandir par maayuusii-o-Hasrat taarii hai
sunsaan gharoN par chhaaonii ke viiraanii-o-riqqat taarii hai….
O des se aane waale bata
Shaadaab shagufta phooloN se
M’amoor haiN gulzaar ab ke naheeN?
Baazaar men maalan laati hai
PhooloN ke guNdhe haar ab ke naheeN ?
Aur shauq se TooTe paRte haiN
Nau-’umr KHareedaar ab ke naheeN ?
O des se aane waale bata
O des se aane waale bata
Kya ab bhi wahaaN waisi hi jawaaN
Aur madh-bhari raateN hoti haiN ?
Kya raat bhar ab bhi geetoN ki
Aur pyaar ki baateN hoti haiN ?
Woh husn ke jaadoo chalte haiN
Woh ‘ishq ki ghaateN hoti haiN ?
O des se aane waale bata
O des se aane waale bata
Kya ab bhi wahaaN ke panghaT par
Pin’haariyaaN paani bharti haiN ?
ANgRaaii ka naqsha ban ban kar
Sab maathe pe gaagar dharti haiN
Aur apne ghar ko jaate huwe
HaNsti huwee chuhleN karti haiN ?
O des se aane waale bata
O des se aane waale bata
Kya ab bhi pahaaRi ghaaTiyooN men
Ghanghor ghaTaaeN gooNjti haiN ?
Saahil ke ghanere peRoN men
Barkha ki sadaaeN gooNjti haiN ?
JheeNngar ke taraane jaagtey haiN
MoroN ki sadaaeN gooNjti haiN ?
O des se aane waale bata
O des se aane waale bata
kya ab bhi wahaaN meloN men wuhi
Barsaat ka joban hota hai
Phayle huwe baR ki shaaKHoN men
JhooloN ka nasheman hota hai
UmDe huwe baadal hote haiN
Chhaya huwa saawan hota hai
O des se aane waale bata
O des se aane waale bata
Kya ab bhi wahaaN barsaat ke din
BaaGHoN men bahaaren aati haiN ?
M’asoom-o-haseeN do~sheezaaeN
Barkha ke taraane gaati haiN ?
Aur teetariyoN ki tar’ha se raNgeeN
JhooloN par lehraati haiN ?
O des se aane waale bata
O des se aane waale bata
Kya pehli si hai m’asoom abhi
Woh madrese ki shaadaab fiza?
Kuchh bhoole huwe din guzre haiN
Jis men woh misaal-e-KHwaab fiza!
Woh khel, woh hum’sin, woh maidaan
Woh KHwaab gah-e-mehtaab fiza?
O des se aane waale bata
O des se aane waale bata
Kya ab bhi kisi ke seene men
Baaqi hai hamaari chaah bata?
Kya yaad hamen bhi karta hai ab
YaaroN men koi, Aah bata?
O des se aane waale bata
Lillah bata! Lillah bata!
O des se aane waale bata
O des se aane waale bata
Kya ab bhi fajar~dum charwaahe
RewaR ko charaane jaate haiN ?
Aur shaam ko dhundhle sayoN ke
Ham’raah ghar ko aatey haiN ?
Aur apni raseeli bansariyoN
Men ‘ishq ke naGHme gaate haiN ?
O des se aane waale bata
O des se aane waale bata
AaKHir men yeh hasrat hai ke bata
Woh GHaarat-e-eemaaN kaisi hai?
Bachpan men jo aafat Dhaati thi
Woh aafat-e-dauraaN kaisi hai ?
Hum~dono the jis ke parwaane
Woh sham’e-shabistaaN kaisi hai ?
O des se aane waale bata
O des se aane waale bata
Marjana tha jis ka naam bata
Woh GHuncha~deh’n kis haal men hai ?
Jis par the fida tiflaan-e-watan
Woh jaan-e-watan kis haal men hai ?
Woh sarv-e-chaman, woh rashk-e-watan
Woh seem~badan kis haal men hai ?
O des se aane waale bata
O des se aane waale bata
Ab naam-e-KHuda ho gi woh jawaaN
Maike men hai ya susraal gayee ?
Do~sheeza hai, ya aafat men use
Kam~baKHt jawaani Daal gayee ?
Ghar par hi rahi ya ghar se gayee
KHush~haal rahi, KHush~haal gayee ?
O des se aane waaleybata