Farz

Status
Not open for further replies.

satender

New member
"Farz ek aisa karz he jisko apne siva koi ada nahin kar sakta"



"Maa ka dil kabhi na dukhao kyonki uske paaon tale jannat hein"
 
wow! yaar good one


har waqt jiski yaad mujhse juda nahi hoti


ek ma hi to hai jo kabhi mujhse khafaa nahi hoti
 
yaar tere title ko dekhakar aisa likhne ko dil kar raha hain
kya likhun yaar ....Ma ka dil to ma ka dil ....koi nahin samjh sakta hai....really Ma to hai ma jaisa duniya main hai koi kahan ...aur isi duniya main hi nahin ....mere khayal main to ye baat aur duniyaon main bhi lagu hoti hai
 
thanx keh kar aap humein sharminda na karen
ma ke baare mein to jitna kaha jaaye kam hai........:)
 
"Mein roya pardesh mein,Bhiga maa ka pyar

Dukh ne dukh se baat ki,Bin chitthi bin taar"

dil ke taaron se jude hain is rishte ke taar
bunt (devide) jaaye dhan daulat saari
par bante na ma ka pyaar,
khoke ma ko jaana humne
kya hota maa ka pyaar,
is pure sansar mein na
hai kuch itna sachaa jitna ma ka pyaar:)

 
dil ke taaron se jude hain is rishte ke taar
bunt (devide) jaaye dhan daulat saari
par bante na ma ka pyaar,
khoke ma ko jaana humne
kya hota maa ka pyaar,
is pure sansar mein na
hai kuch itna sachaa jitna ma ka pyaar:)


Maa ki surat mein Vrindavan
Dikhta har teerath sthan
Puje ise dil se duniya saari
Vidhata ne banaya ise itna mahaan
Jo maa no hoti iss jag mein
Hum kya jaan paate ki kaisa hota hai Bhagwan


 
"sir per jalti aag hei peroan mei bhi aag,
nafrat ke narak se bhag sake to bhag"


"Jahan tyag ka tyag hei,wahan lobh hi lobh,
aur lobh ka man jhan,wahan kshob hi kshob"
 
"sir per jalti aag hei peroan mei bhi aag,
nafrat ke narak se bhag sake to bhag"


"Jahan tyag ka tyag hei,wahan lobh hi lobh,
aur lobh ka man jhan,wahan kshob hi kshob"



Kittani sachchi baat.......Dil ko chhu gai Stender bhai.



Koi tappe parmatamma koi tappe bhagwaan
Ma jo ghar mei hei bhala,na samjhhe insaan

Maa se badhh kar kuchh nahin,yhan tak bhi na Ram
Kokh se pathhar bhi ugge,usse mamta se kaam

Poochha kissi nei Ram se sabhse badhhkar kaun
Bolle pehle jannani hei, dujja kewal maun[bhagwaan]
 
kya khoob kaha hai.....

doston kya khoob bayan kiya hai aap logon ne maa ki mahima ko....
ye sab padh kar mujhe chitra singh ki ek gazal yaad aa gayee aur sunane ke baad aankhein nam huye bina nahin rahati....
lyrics mein aap ke saath share kar raha hun....
ho sake to kabhi ye gazal zaroor sunana....u'll enjoy a lot...


Maa Sunao Mujhe Wo Kahani
Jisme Raja Na Ho Na Ho Rani
Jo Hamari Tumhari Katha Ho
Jo Sabhi Ke Hriday Ki Gatha Ho
Gandh Jisme Ho Apni Dhara Ki
Baat Jisme Na Ho Apsara Ki
Ho Na Pariyan Jahan Aasmaani
Wo Kahani Ko Hasna Sikha De
Pet Ki Bhookh Ko Bhi Mita De
Jisme Sach Ki Bhari Chaandni Ho
Jisme Um'meed Ki Roshni Ho
Jisme Na Ho Kahani Puraani
 
doston kya khoob bayan kiya hai aap logon ne maa ki mahima ko....
ye sab padh kar mujhe chitra singh ki ek gazal yaad aa gayee aur sunane ke baad aankhein nam huye bina nahin rahati....
lyrics mein aap ke saath share kar raha hun....
ho sake to kabhi ye gazal zaroor sunana....u'll enjoy a lot...


Maa Sunao Mujhe Wo Kahani
Jisme Raja Na Ho Na Ho Rani
Jo Hamari Tumhari Katha Ho
Jo Sabhi Ke Hriday Ki Gatha Ho
Gandh Jisme Ho Apni Dhara Ki
Baat Jisme Na Ho Apsara Ki
Ho Na Pariyan Jahan Aasmaani
Wo Kahani Ko Hasna Sikha De
Pet Ki Bhookh Ko Bhi Mita De
Jisme Sach Ki Bhari Chaandni Ho
Jisme Um'meed Ki Roshni Ho
Jisme Na Ho Kahani Puraani


very-very nice lyrics............
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top