Sir main aapki es baat se bilkul bhi sahmat nahi hun ki es samasya ko badhane me mahilao ka yogdan hai, han agar aap ese kahte ki es samasya ko mahilaon ki madad se badhaya gya to sahmat ho sakti thi. Dhyan dene wali bat hai ki Samasya ka saara thikara aapne to mahilao/ Saas par dal diya. Par agar wo Pota hone par agar jor de rahi hai to wo aisa kyn kar rahi his es par bhui to dhyan dena chahiye...Wo aisa apne liye nhi kar rahi hai , yahan par bhi swarthsidhi to purush ki hi ho rahi hai...Purush ko bete chahiye apna nam badhane k liye, apne sharir ko aag dene k liye, Aur kahin JL par hi kahin yah bhi padha ki agriculturalist Jatiyon ko apne Krishi karyon k liye adhik poorushon ki jaroorat thi esliye, beton ki demand jyada thi.
Mahilao ka en sab se direct kya lena dena??Sab purush dristikon hi hai. Ek aur bat ki mahilaon ko agar thoda bahut power aur space milti hai to uske liye use "BETON KI MA" hona jaroori hai, kai betiyan hone aur koi beta na hone par hamesha use ye dar bhi rahta hai ki uska pati dusri shadi kar lega, beta paida karne ka mental pressure mahilayen jhelti hain. Saas ko apni power dikhane k liye bahu hi milti hai so she tries there, kynki larger structure me uski pahchan bhi usse milti hai, aur ye pahchan use purush de dete hain kynki purushon ka kam Saas khud kar deti.