Gazals "The Finest Ever"

On ur request Vijay ..take it as ur b'day gift ..:)


matter of chance to have found this ...


"sochte hi reh, saath chhut gaye
kaise mil jaate hain log bichhad gaye

ek aandhi ka kissa sunaate hi rahe
phool bikhare hue , ped se toot gaye

waqt ki gard mein waqt hi reh gaya
log baatein hue, log kisse ho gaye"

- Wasim Barelwi

Thanx a lot, Nysa.:)

I read this beautiful lines by Wasim Barelwi earlier too and would like to make some corrections as per original gazal by the Shaayar :)


सोचते ही रहे, साथ छूटे हुए
कैसे मिल जाते हैं लोग बिछुडे हुए

एक आंधी का किस्सा सुनाते रहे
फूल बिखरे हुए , पेड़ टूटे हुए

वक्त की गर्द में वक्त ही रह गया
लोग बातें हुए , लोग किस्से हुए
 
Jo zulm sah ke bhii chup rah gayaa na Khaul uthaa
Wo aur kuchh ho magar aadami kaa rakt na thaa​


Unhiin faqiiron ne itihaas banaayaa hai yahan
Jin pe itihaas ko likhane ke liye waqt na thaa​

Excellent lines Anjali Ji :)


Thanx for sharing !
 
Thanx a lot, Nysa.:)

I read this beautiful lines by Wasim Barelwi earlier too and would like to make some corrections as per original gazal by the Shaayar :)


सोचते ही रहे, साथ छूटे हुए
कैसे मिल जाते हैं लोग बिछुडे हुए

एक आंधी का किस्सा सुनाते रहे
फूल बिखरे हुए , पेड़ टूटे हुए

वक्त की गर्द में वक्त ही रह गया
लोग बातें हुए , लोग किस्से हुए



Sir ji where is d correction ??? :)
 
Faasle.....

Deepest emotions in simple words, sung by Ghulam Ali. No idea about the 'Shayar' though.
I like this kind of lyrics where you find only simple Urdu and Hindi words not typical Urdu one for which you need to go to the dictionary or need to ask someone or you need to speculate.:):p

फासले ऐसे भी होंगे सोचा न था,
सामने बैठा था मेरे और वो मेरा न था ।

वो के खुशबू की तरह फैला था मेरे चारसू,
मैं उसे महसूस कर सकता था छू सकता न था ।

रात भर पिछली ही आहट कान में आती रही,
झाँक कर देखा गली में कोई भी आया न था ।

ख़ुद चढा रखे थे बदन पर अजनबियत के गिलाफ,
वरना कब एक दूसरे को हमने पहचाना न था ।

याद करके और भी तकलीफ होती थी 'अदीब',
भूल जाने के सिवा अब कोई भी चारा न था ।
 
ye aalam shauq

ye aalam shauq kaa dekhaa na jaaye
vo but hai yaa Khudaa dekhaa na jaaye

ye kin nazaro.n se tum ne aaj dekhaa
ke teraa dekhanaa dekha naa jaaye

hameshaa ke liye mujh se bichha.D jaa
ye manzar baarahaa dekhaa na jaaye

Galat hai jo sunaa par aazamaa kar
tujhe ai baavafaa dekhaa na jaaye

ye maharuumii nahii.n paas-e-vafaa hai
ko_ii tere sivaa dekhaa na jaaye

yahii to aashnaa banate hai.n aaKhir
ko_ii naa_aashnaa dekhaa na jaaye

'Faraz' apane sivaa hai kaun teraa
tujhe tujh se judaa dekhaa na jaaye



-AHMED FARAZ-
 
by munnawar rana

Jise dushman samjhta hoon, wahi apna nikalta hai,
Har ek pather se mere sar ka kuch rishta nikalta hai.

Darra dhamka ke tum humse wafa karne ko kahte ho,
Kahin talwar se bhi paon ka kaanta nikalta hai?

Zara sa jhutputa hote hi chup jaata hai suraj bhi,
Magar ek chaand hai jo shab mein bhi tanha nikalta hai.

Kisi k paas aate hain to dariya sookh jaate hain,
Kisi ki aediyon se ret mein chashma nikalta hai.

Faza mein ghol di hain nafraten ahle siyasat ne,
Magar paani kuyen mein aaj tak meetha nikalta hai.

Jise bhi zurme-e-gaddari mein tum sab katal karte ho,
Usi ki jeb se kyon mulk ka jhanda nikalta hai.

Duaayen maa ki, pahunchane ko milon meel jaati hain,
Ki jab pardesh jaane k liye beta nikalya hai.
 
Sir ji where is d correction ??? :)

Not any major corrections but a few minor ones ....... try to read again ..... sometimes a single word can change the meaning of whole line :)

And most important thing -

When we are writing a gazal ...... Kaafia and Radif are most important aspect of a perfect gazal ( Kaafia and Radif means how every second line of all the couplets in a gazal ends .... i have explained these things in detail in my social group "Poetry" in Jatland Social Group section ..... if you are interested to know about these aspects ..

http://www.jatland.com/forums/group.php?groupid=4

plz go through :) )

And check these again :


"sochte hi reh, saath chhut gaye
kaise mil jaate hain log bichhad gaye

सोचते ही रहे, साथ छूटे हुए
कैसे मिल जाते हैं लोग बिछुडे हुए

ek aandhi ka kissa sunaate hi rahe
phool bikhare hue , ped se toot gaye
एक आंधी का किस्सा सुनाते रहे
फूल बिखरे हुए , पेड़ टूटे हुए

waqt ki gard mein waqt hi reh gaya
log baatein hue, log kisse ho gaye"

वक्त की गर्द में वक्त ही रह गया

लोग बातें हुए , लोग किस्से हुए

I hope you got it now :)
 
saare badan ka khoon paseene mein jal gaya
itna chale ke jism hamara pighal gaya

chalthehi gin rahe the' museebat ke raat din
dam lene hum jo baith gaye dam nikal gaya

achha hua jo raah mein thokar lagee humen
hum gir pade to saara jamaana sambhal gaya

wehshat mein koi saath humara na de saka
daaman ke fikr kee to garebaan nikal gaya
 
By Kunwar 'Bechain'


Dono hi paksh aaye hain taiyariyon k saath,
Hum gardano k saath, wo aariyon k saath.

Boya na kuch bhi, fasal magar dhoondhte hain log,
Kaisa majak chal raha hai kyariyon k saath.

Koi bataye, kis tarah usko churaun mai,
Paani ki ek boond hai chingariyon k saath.

Sehat hamari theek rahe bhi to kis tarah,
Aate hain khud hakeem hi bemariyon k saath.

Kuch roz se mai dekh raha hoon ki har subah,
Uhtti hai ek karah bhi kilkariyon k saath.
 
Ahmed Faraz

अब के तज्दीद-ए-वफ़ा का नहीं इम्काँ जानाँ
याद क्या तुझ को दिलायें तेरा पैमाँ जानाँ

यूँ ही मौसम की अदा देख के याद आया है
किस क़दर जल्द बदल जाते हैं इन्साँ जानाँ

ज़िन्दगी तेरी अता थी सो तेरे नाम की है
हम ने जैसे भी बसर की तेरा एहसाँ जानाँ

दिल ये कहता है कि शायद हो फ़सुर्दा तू भी
दिल की क्या बात करें दिल तो है नादाँ जानाँ

अव्वल-अव्वल की मुहब्बत के नशे याद तो कर
बे-पिये भी तेरा चेहरा था गुलिस्ताँ जानाँ

आख़िर आख़िर तो ये आलम है कि अब होश नहीं
रग-ए-मीना सुलग उठी कि रग-ए-जाँ जानाँ

मुद्दतों से ये आलम न तवक़्क़ो न उम्मीद
दिल पुकारे ही चला जाता है जानाँ जानाँ

हम भी क्या सादा थे हम ने भी समझ रखा था
ग़म-ए-दौराँ से जुदा है ग़म-ए-जानाँ जानाँ

अब की कुछ ऐसी सजी महफ़िल-ए-याराँ जानाँ
सर-ब-ज़ानू है कोई सर-ब-गिरेबाँ जानाँ

हर कोई अपनी ही आवाज़ से काँप उठता है
हर कोई अपने ही साये से हिरासाँ जानाँ

जिस को देखो वही ज़न्जीर-ब-पा लगता है
शहर का शहर हुआ दाख़िल-ए-ज़िन्दाँ जानाँ

अब तेरा ज़िक्र भी शायद ही ग़ज़ल में आये
और से और हुआ दर्द का उन्वाँ जानाँ

हम कि रूठी हुई रुत को भी मना लेते थे
हम ने देखा ही न था मौसम-ए-हिज्राँ जानाँ

होश आया तो सभी ख़्वाब थे रेज़ा-रेज़ा
जैसे उड़ते हुये औराक़-ए-परेशाँ जानाँ
 
G.R.Kanwal

Meri aankhon mein ashkon ka samundar koun dekhega,
Jise tumne nahi dekha wo manzar koun dekhega.

Zamane ne to dekha hai mera hasta hua chehra,
Jo dukh pinha hai mere dil ke andar, koun dekhega.

Nahi dekha kisi ne jab kabhi ujla badan mera,
To fir us par padi maili si chadar koun dekhega.

Andhera jab ujale ke barabar ho nahi sakta,
Andhere ko ujale ke barabar koun dekhega.

Abhi to dekhta hai maikada saara meri jaanib,
Girega jab mere haathon se sagar, koun dekhega.

Chale jaaoge ik din ruthkar tum jiske aangan se,
Kabhi socha bhi hai tumne ki wo ghar koun dekhega.

Mohabbat mojjan hai jiski har pakiza dhadkan mein,
‘Kanwal’ tumse bhala us dil ko behtar koun dekhega.
 
By Kuldeep 'Salil'

Hai jo kuch paas apne sab liye sarkar baithe hain,
Jo chahe aap le jaayen sare baazar baithe hain.

Manao jashn mazil par pahunch jaane ka tum lekin,
Khabar unki bhi lo yaaron jo himmat haar baithe hain.

Tu ab uss shahar bhi jaakar sukun payega kya aakhir,
Wahan bhi kounse e dil tere gumkhawar baithe hain.

Na tu aaya, na yaad aayi teri ik lambe arse se,
Hazaron kaam hone par bhi hum bekar baithe hain.

Unhi se naam hai tera, na bhul itna to e saaki,
Tere maikhane mein ab bhi kuch ik khuddar baithe hain.

Gaye wo waqt kahte the ki itne dost hain apne,
Mukddar janiye achha agar do char baithe hain.

Kisi bhi waqt aa sakta hai ab paigam bas uska,
Suna jis waqt se humne 'Salil' taiyar baithe hain.
 
Tumhara Naam Likh Likh Ker

Tumhara Naam likh likh ker Mitana bhool jata hoon
Tumhein jab Yaad karta hoon, Bhulana bhool jata hoon
Boht si aisi Baatein hain jo Mere Dil mai rehti hain
Magar jab Tum se milta hoon, Sunana bhool jata hoon
Tumhare baad ab her Pal bari Mushkil se Kat-ta hai
Mai aksar Tum ko Khuwabon mai, Batana bhool jata hoon
Mai her Shaam kehta hoon Tum ko bhool jaoonga
Magar jab Subah hoti hai, Iraada bhool jata hoon
 
Maa mujhe apne aanchal mein chupa le

Maa mujhe apne aanchal mein chupa le
Gale se laga le
Ki aur mera koi nahi
Phir na sataaunga kabhi paas bula le
Gale se laga le
Ki aur mera koi nahi
Maa mujhe apne ...

Bhool meri chhoti si bhool jaao maata
Aaise koi apno se rooth nahi jaata
Rooth gaya hu main tu mujhko mana le
Gale se laga le
Ki aur mera koi nahi
Maa mujhe apne ...

God mein teri aaj tak main pala hoon
Ungali pakad ke teri maan main chala hoon
Tere bina mujhko ab kaun sambhaale
Gale se laga le
Ki aur mera koi nahi
Maa mujhe apne ...
 
Back
Top