Gosse bech-le.....

Status
Not open for further replies.

ram6april

New member
Laage haathaa ek aur chep dyuu..... thoda saa laambaa sai....

Ek din Chamann laan punjaabi aagyaa aapne Tau dhore boojhan laagyaa ak chodhry sahb kimme issa kaam-dhandaa batao...jisme poonji(money) kam laagtii ho...arr kum (less) bojh-bharr kaa ho.. arr aaj tak kisse ne naa karyaa ho na kar sakkeey.... Tau bolya ak seth issa te ek-ee kaam dhyaan me aave sai...
Chamann bolyaa Kunsaa?? Tau bolya ak thaam nu karo Gossya (upplley) ki rehdii laa lyo... isme naa te poonjii laagge.. halkaa kaam sai.. naa touulll (weight) ke denne... te taakhdii -baat ki jaroot bhi naa pade...naa liphaaffyaa kaa kharchaa laage.. arr seth tham iss rehdii ne chodd ke uren pren b chaale gaye te daanger bhi isme muh naa maare...arr gaame koi budha-baderaa marr-gyaa te sab thaare ee lenn aavenge.....
Chamann Laan bolyaa akk ferr te main Puullee bhi dharr lyuu ve bhi bikk jyaangi....




kisse ke koi baat samajh me aave te bata diyo yaa rohtakii bhasaa sai..... hehehe
 
ha ha ha ramle ireland jake teri haryanvi bleak holi dikhey ...kittey punjabi batave se er kitte seth ... ha ha

bahut aache bhai ... tun gerta rahya kar mah-beech ke ...
 
Bhai r joke khnia hooda

uspe bat kahn ala bhi hooda

ham to donua ki sunage

beech me ghal k moodha


u tha haryanvi sher turat ka


jagbir rathee
 
Ram Lal,


Aapki soch bilkul original hai.

Aur bhi achchha lagta agar Tau ko hukkah peete khaat pe bitha ke uske paas gosse ki rehdi lagwa kar ek photu chhap dete.


Bahut badhiya!!
 
Last edited:
pakad gyaa...

ha ha ha ramle ireland jake teri haryanvi bleak holi dikhey ...kittey punjabi batave se er kitte seth ... ha ha

bahut aache bhai ... tun gerta rahya kar mah-beech ke ...

heheheh Jitu tanne khoob pakdyaa bhai... ibb baat nue sai ak punjabi te nu kahiii ak ek mhare gaame hoyaa kare Chamann lal.. arr Seth jyaat kahi ak Business karegaa te seth ho liyaa baat suru karte ee....

kimme aur clariification chahiye te waa bhi bata diye...
 
ram ram bhai ram lal ji

theek se bhai ram lal ji

tau na sahi dhanda batay....? ha ha ha ha

na koi punji na koi kharcha... or bojh wala to bilkul bhi na.

aree isku koi or karta bhi na hoga... ha ha ha ha

rajeev tomar
 
Rame bhai,
Theek kah tha Punjabee ka, ek aadh poolee bhi chahya kare aag sulgaan khatir!

Really good one!

Jitu issi 2 baat desh te bahar aake hi ghani yaad aaya karen!

Cheers!
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top