IPL aftermaths : Tu Player hai ya Salesman

Aaj kal to bhai bas, Kirkat ka bol bola hai,
Kahin Pepsi, kahin Limca to Kahin Coca Cola hai,
Game khelte khelte tu, kyun ho gaya itna beimaan,
Ye to bata de bhai mere, tu Player hai ya Salesman ?

Vo bhi din thei jab players, sirf dudh malai khate thei,
4 baje uth ke jab, early morning bhaagne jaate thei,
Ab chote bacho ko dete ho, Cold drink peene ka tum gyan,
Ye to bata de bhai mere, tu Player hai ya Salesman ?

Cold drink ki choro, tum to Chips bhi bechne jaate ho,
5-5 rupey ikathe karke, ek nai team banate ho,
Jo AC se kamm rehte nahin, vo promote kar rahe hai ceiling Fan,
Ye to bata de bhai mere, tu Player hai ya Salesman ?

Bade Miyan to Aaj kal, Roj nayi ad mein atey hai,
Motey contract sign karke, Lakhon Croron kamate hai,
Par Liquor brand promote karke, naa looton tum Janta ka chain,
Ye to bata de bhai mere, tu Player hai ya Salesman ?

Kirkat aur Filmein vale, nit nayi firki ghumate hai,
Bache, budhe aur jawan, sab ko apne peeche lagate hai,
Apni pyaas aur badao, Ye roj keh rahi hai Kareena mam,
Ye to bata de bhai mere, tu Player hai ya Salesman ?

Social causes ke time par, tum log kahan bhag jaate ho?,
Match chahe haaro par jamm ke, aftermatch party manate ho,
Koi acha kaam bhi karo miyan, mat nacho pakad ke Deo ka can,
Ye to bata de bhai mere, tu Player hai ya Salesman ?

Jo tumhe lakhon dete hai, vo humse croron banayege,
Meethe paani mein rang daal, sone ke bhaav bech jayenge,
Sach ki bleach lagao bhai, utaro ye "Easy Money" ka tan,
Ye to bata de bhai mere, tu Player hai ya Salesman ?

Ye na bhoolon tum logon ki, kuch social jimmedaari hai,
Youth icons ho tum sab ke, Ye responsibility bhaari hai,
Achi cheezein becho bhai, Kar do sab Burai ka ban,
Ye to bata de bhai mere, tu Player hai ya Salesman ?
Ye to bata de bhai mere, tu Player hai ya Salesman ?

P.S : Written by one of my collegue, Harsimrat.
 
Back
Top