jab se tum mile ho

Status
Not open for further replies.

santoshbenaam

New member
Jab se tum mile ho yu laga hai
Pyar ka naam hi khuda hai
Ban gaya hu main deewana
Aag bhi jali hai dhuoa bhi utha hai
Hasraty ab ho jane do poori
Chehre pe kyu parda rakha hai
Apni aankho me hame basa lo
Hamne dil me tumko rakha hai
Ham koi gair to nahi benaam
Kyu kisi or se tumne rista rakha hai.


santosh benaam
 
Bahut khoob !!

Benaam ji beech beech main kahan GAYAB ho jatey ho.
 
Uday Dahiya (Dec 17, 2003 09:24 a.m.):
Bahut khoob !!

Benaam ji beech beech main kahan GAYAB ho jatey ho.


Uday ji main to yahi hu bas kabhi time nahi mil pata hai , isliye ..........
sukriya
santosh benaam
 
Wah Bhai "Benaam Daruwala" Bahut Badhia Bhai, Ek Baat hai Agar ye shayari's Kisi or ke lekhe hue hain to bhey Bhai, Kamaal Hain, or Aapke khud ke Hain to really, Bemisaal Hain.
Laagey Raho...........
 
Amardeep Bazaad (Feb 11, 2004 04:08 a.m.):
Wah Bhai "Benaam Daruwala" Bahut Badhia Bhai, Ek Baat hai Agar ye shayari's Kisi or ke lekhe hue hain to bhey Bhai, Kamaal Hain, or Aapke khud ke Hain to really, Bemisaal Hain.
Laagey Raho...........

Amardeep ji ye shayari meri hi hai, maine khud hi likha hai or aage bhi apni hi sayari likhuga, agar mujhe kisi or ki sayari pasand aayi to wo bhi bhej duinga , lekin main pahle hi likh duinga ki ye sayari meri nahi hai kisi or ki hai,

or ek baat aapse poochna chahta hu kya sayari main nahi likh sakta hu

santosh benaam
 
Apun ko lag raha hai...saayad ye hi payar hai....?..apun saala hamesha confuse main tha ki paayar kish chidiya ka naam hai....?
 
Amardeep Bazaad (Feb 11, 2004 04:08 a.m.):
Wah Bhai "Benaam Daruwala" Bahut Badhia Bhai, Ek Baat hai Agar ye shayari's Kisi or ke lekhe hue hain to bhey Bhai, Kamaal Hain, or Aapke khud ke Hain to really, Bemisaal Hain.
Laagey Raho...........


Amardeep bhai mujhe aap "Benaam Daruwala " mat kaho dear main daruwala nahi hu

main to santosh benaam hu,
thx

santosh benaam
 
Bhai "Benaam" Ye Shayari Aapne hi likhi Hai to Bahut Achee Baat Hai Bhai, Main to soch raha tha mere tarha kisi or ke likhey huye post kartey ho. Waisey bhey Jat kam he miltey hain jo is kisam ke umda shayari kar sakey.
Bhai Rahi Baat 'Naam" ke to wo to main aise he Mazaak ma kah deta tha, Waisey Naam kaafi Shayarana rakha hai. Acha Aap ka Gotra kaya Hai?
 
Amardeep Bazaad (Feb 13, 2004 05:20 a.m.):
Bhai "Benaam" Ye Shayari Aapne hi likhi Hai to Bahut Achee Baat Hai Bhai, Main to soch raha tha mere tarha kisi or ke likhey huye post kartey ho. Waisey bhey Jat kam he miltey hain jo is kisam ke umda shayari kar sakey.
Bhai Rahi Baat 'Naam" ke to wo to main aise he Mazaak ma kah deta tha, Waisey Naam kaafi Shayarana rakha hai. Acha Aap ka Gotra kaya Hai?

Amardeep ji, aap ne thik hi kaha hai ki kam hi jat hoty hai jo sayari pasand karty hai , maine apna naam khud benaam rakha hai , santosh benaam , or mujhe ye naam hi pasand hai aap mujhe isi naam se pukare to acha rahega,
insaan apne gotra se acha ya bura nahi hota hai wo to apne guno se acha ya bura hota hai

santosh benaam
 
Jab se tum mile ho
Aapne sy lagany lage ho.

LIKIN AAK BAT AUR BHI HAE
NARAJ MAT HONA- ARAJ KIYA HAE

Jab se tum mile ho
YAAR ROJ JANE KI KAHATY HO
Jane ka nam hi nahi lete ho
HAm to tumare gaye ho
Hamesa Yahi kahate rahate Ho
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top