Ek baaar shiv-parvati prithvi per ghum rahe the, ek jaat ladka subah se khet me hal chala raha tha..to parvati ne bola ki dekho kitna khubsurat,jawan ladka hai aur itna kaam karke bechare ki kya halat ho rahi hai, chalo aap isko koi vardaan de do, to shiv ji bole ki parvati, ye jaat hai aur subah se hal chala raha hai, iske paas mat ja, chal nikal le yaha se;per parvati to jid per ad gayi ki nahi bechara kitna pareshan sa nazar aa raha hai, chalo aapko isko vardaan dena padega. shiv ji ne fir kaha ki maan ja, pachtayegi
per parvati nahi mani. ab jat ne jo dono ko aate dekha to hal chodkar vahi pahuch gaya aur bola ki yu kya vesh banakar ghum rahe ho dono, to parvati boli ki mai parvati hu aur ye shankar bhagwaan hai to jaat bola-mai kya karo fer, per chori to achhi patayi hai isne. parvati boli-ye anteryami hai aur tumhe vardaan dena chahte hain, tumahri jo marzi ho maang lo. Jat bola-achha, yu sach mai anteryami hai. parvati boli-haan, ye sab jante hai. jaat bola-achha, agar yu sab jaanta hai to mere ek sawal ka jawab de de to fir mai manguga is se vardaan. shiv ji parvati se bole--ab bhi chal pad yaha se. parvati boli-aap to anteryami ho, darte kyu ho, puchne do isko sawal. Jaat khet me se saanta utha laya aur neeche baither usko jameen me do alag-2 jagah dhasa kar do hole bana diye, fir saanta hath me lekar dol per baith gaya aur bola-jo tu anteryami hai to bata, mai yo saanta pahle hole me dhasaonga ki doosre me. Shiv ji parvati se bole-dekha, tuzhe kaha tha na ki nikal le yaha se, ab agar mai bolonga ki yo pahle me dega to yo doosre me dega, aur agar mai bolonga ki doosre me dega to yo pahle me dega, kar lo koi kya karo iska, jat hai yo 