Kaun kehta hai desh jaaga hai??

Status
Not open for further replies.

shobhitdeshwal

New member
Janvar bhool gaye janglipan
Aadmi jangal ko bhaaga hai...

Log to so rahe sadkon pe
aap kehte hain desh jaga hai..

Kaun kehta hai desh jaga hai??

Had me girje ki bandh gaya koi
le kar kirpan tan gaya koi

Aapke dil me basi hai kashi
uski nazron me sirf kaaba hai

Kaun kehta hai desh jaga hai??

Jism pe mal ke raakh sapno ki
ban gaye eklavya sanyasi

Yogyta maapti hai sadkon ko
aur bhrat takht pe viraja hai

Kaun kehta hai desh jaga hai??

Log katra rahe hain apno se
din purane hue sapno se

Eik aandhi chali nafrat ki
prem ka toot gaya dhaga hai

Kaun kehta hai desh jaga hai??

Cheers!!

Shobhit Deshwal.
 
how true shobhit sir :rolleyes:
excellent poem...keep writing

regards,
sam
 
Very Good composition

Bhai Sobhit,


Bahut badhiya likha hai, etne gahari baat likh key yeo cheers keu likh diya.

Samay badlega jarur, jab aap jaisay log itney gaharai sey chejo ko dekhgey
to sudhar na ho easa ho nahi sakta.

Regards

Janvar bhool gaye janglipan
Aadmi jangal ko bhaaga hai...

Log to so rahe sadkon pe
aap kehte hain desh jaga hai..

Kaun kehta hai desh jaga hai??

Had me girje ki bandh gaya koi
le kar kirpan tan gaya koi

Aapke dil me basi hai kashi
uski nazron me sirf kaaba hai

Kaun kehta hai desh jaga hai??

Jism pe mal ke raakh sapno ki
ban gaye eklavya sanyasi

Yogyta maapti hai sadkon ko
aur bhrat takht pe viraja hai

Kaun kehta hai desh jaga hai??

Log katra rahe hain apno se
din purane hue sapno se

Eik aandhi chali nafrat ki
prem ka toot gaya dhaga hai

Kaun kehta hai desh jaga hai??

Cheers!!

Shobhit Deshwal.
 
SUPERB !

"Eik aandhi chali nafrat ki
prem ka toot gaya dhaga hai"


Aandhiyon se kaho wo sambhal ke chalen,
Hum par se nahin, honslon se udte hain.


Keep it up !
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top