http://articles.timesofindia.indiat..._1_khap-panchayat-haryana-khap-haryana-s-jind
Bhai..Haryana main koi bhi chaudhary ban ke kimme bhi bayan de de hai...
Chowmin root cause of Rape.
Jaldi shadi karwana is solution of rape.
Bla...Bla..Bla..
Nue nahi ke sarv khap panchayat baith ke dhangh se vishleshan karey ki in sab bimariyon ki jad kya hai..
Dharti bikne ke sath sath kai logon ki sharam bhi bik chuki hai...Ijjat jo sabse badi cheese hua karti thi , pagdi hua karti thi , wo aaj paise ke bojh tale dab chuki hai....
Kanya Bhuran hatya (Resulting in un even Sex ratio) , nasheley padhartho ka badtha hua sevan , kham khah ki chaudhar main apni galtiyon ko accept na karna....ye hain asli bimariyan...
Inko thik na karke, koi bhi anaap shanaap byan de kar haryanvi sanskriti ka aur nash marengey ye kuchek khandwey aley...
Gotra vivah pe te maar kaat macha de hain...ijjat ki baat ho jya hai...per rape cases ne dhakan main lagey rahvey hain...apradhiyon ko bachatey rehtey hain...
Kanya bhuran hatya karne walon ka hukka paani bandh kyun nahi kartey (on bigger level in all states like haryana , delhi , rajsthan and UP)??
Rape karne walon ke sath aisa kyun nahi kiya jata ki unhe bachane ki bajay unhe kanuni taur per saja dilwayi jaye???
iske sath hi ek sarv khap mahapanchayat ban-ni chahiye jo aur sari chhoti khap panchayaton ko manyata de...
Kuchh bhi sarvajanik tippani karne se pehle (kyun ki media to khabrey dhundti hai uchhalney ke liye) wo usey sarv khap mahapanchayat se discuss karey and tab koi tippanni de...tabhi kuchh ho sakta hai...