rajpaldular
Active member
Koi Deevana kahta hai, koi paagal samjhta hai..
Magar dharti kee baicheni ko bas baadal samajhta hai...
Tu mujhse door kaisi hai, mai door tujhse kaisa hoon...
Yeh tera dil samjhta hai ya mera dil samjhta hai...
Pyar ek ehsano kee paavan si kahani hai....
kabhi Kabira deevana tha, kabhi Meera deewani thee
yahan sab log kahte hain meri aankho me aansu...
jo tu samjhe to moti hai na samjhe toh paani hai...
iss chchoti si zindagi ke gile shikve mitana chahta hoon...
sabko apna kah sakun, aisa thikana chahta hoon...
Toote taron ko jodkar phir ajmana chahta hoon...
har andhere me phir deepak jalana chahta hoon.
Khula aakash ho ghar mera aisa ashiana chahta hoon.
jo kuchh diya malik ne duguna lautana chahta hoon.
jab tak rahe yeh zindagi bas khushiyan lutana chahta hoon....
This poem is composed by Ravi Tanna, from Gujarat
One of my friend.