Khoon Hindustani hai,rang Hindustani hai;
Kya khoon mein abb bhi wahi rawaani hai?
Aadarsh Hindustani hain,Seekh Hindustani hai;
Kya yaad hum ko azaadi ki kahaani hai?
Ye dil Hindustani hai,Dhadkan Hindustani hai;
Kyon gareeb ki aankhon se chhalaktaa phir ye paani hai?
Jazbaat Hindustani hain,har baat Hindustaani hai;
Kya ragon mein tharr thrraahat abb bhi toofaani hai?
shakk nahin yakeen hai,yahaan abb bhi wahi jawaani hai;
junnon jindaa,jazbaa AMAR,katraa katraa HINDUSTANI hai.