MERE JAWAB NEECHE RANGEEN SHABDO ME LIKHE HOOYE HAIN:--------------
Aapne mujhe confusion me daal diya ki isi post me ek jagah to aapne likha ki Mods hamare ghar pariwar walo ki tarah hain aur last paragraph me aap unhe ANGREJ bata rahi ho.
Aur saari baato ki ek baat UMPIRE (MODS) galti kare ya na kare wo kabhi apni galti nahi maanega. Agar wo aise galti maanenge to rozana koi na koi unki ghitthi pakad ke kahega ki tumne mere sath galat kiya hai use theek karo.
PS:---Aur please mujhe pata hai ki maine kuchh kathor shabdo ka prayog kiya hai lekin सच्चाई hamesha kadvi hoti hai. to un kathor shabdo ke liye mujhe maaf karna. Jo mere views hain vo maine diye hain. Baaki Bhagwan aap logo ka bhala kare aur Shweta ji ko vaapis laane me hamari madad kare.
:rockJAI KILLKKIIIIIII TAULL :rock
yeh kehna bahut aasaan hai parantu aap yeh kyu nahi dhyan me rakhte ki agar kisi ko ban kar dyo toh vah ek prakar ka apmman hi hai aapke liye.
apmaan hai to apmaan maano aur apne ghar baitho. Kyun fer ke aane ke liye tigdam baitha rahe ho. (I am extremely sorry for become to use these words but no option right now)
jaisa ki maine apne pehle ek thread me likha tha agar thappad maar kai koi ghar tai kaadh de toh,ghar aale nai hi manana chahiye pehle.
ye baat aa gayi EGO wali. theek hai SD ne gusse me request daal di thi name change or ban hone ki to ab tak to gussa shant ho gya hoga. ab usi request ko vaapis le lo shanti se.
Appko pata hai jab bhartwaasiyo ne swatantrata aandolan chalaya tha tab iss baat par vishwaas karna kathinn tha ki angrej bharat ko chodd ke jaayege.aur mai pure vishwaas se keh sakti hu uss samay aap jaisi soch rakhne wale logo nai bola hoga ki kyu time karo ho kaam e kar lyo nai do roti haath me aavaingi
har ek jawaab TIME aur SITUATION par depend karta hai. yeh bhi to ho sakta hai ki us samay main ANGREJ hoon (just kidding)
(kripya bura na maane yeh ek mazak tha and i hope u will take it in a good spirit) main JL par 22nd August 2008 se hoon, chahe kisi ne mere saath serious majaak kiya ho ya hansi wala majaak kiya ho. maine kabhi kisi ki baat ka bura nahi maana. main to us siddhant ko maanne wala hoon ki yadi aapke bane hooye chehre ya hanste hooye chehre ko dekhkar koi khush hai ya hans raha hai to poori zindagi uske saamne vaisa hi chehra le kar aaunga ki wo hansta rahe.
par pher bhi jib angrej na tikke toh pher yeh Moderators to apne hi hai
to aap ye maanti hain ki ye moderators apne hi hain to apne logo se vaapis aane ke baare me baat karne me kaun si sharam hai.
agar aapke saath yeh bani hoti toh kya aap prarthana karte moderators ko ki mujhe waapis le lo.yadi aapka uttar haan hai toh aapke charankamlo me koti koti pranam
pahli baat to ye ki aisa hoga nahi lekin agar aisa ho bhi gaya aur mujhe laga ki main JL ke bina aage nahi jee paaunga to main Mods ke ghar ja kar personally milunga aur charan pakad kar kahunga ki mujhe vaapis le lo.
aur haan aapne sahi likha phal usi pedd pe lagte hai jo jhukna jaante hai par aap meri iss baat par toh sehmat honge ki sabse samajhdaar,udaar tatha vinamrr vyakti yaani ke phal wala ped hi administrator athva moderator banta haiAGAIN EGO.
yeddi vah log badappan dikhakar va phal wala pedd banke dikhaye toh vah shayad jyada acha udaharn hoga kyunki aapka mukhiya ya panch jo karta hai log uss se prerna lete hai.Iss vishya par aap kya kehnge?
Is vishaya par to ek bhi baat yaad aati hai ki "BHAGAT SINGH TO PAIDA HO LEKIN PADOSIYON KE GHAR ME" arre tum log ye kyun nahi samajh rahe ho ki Mods ko koi dikkat nahi hai Shweta ka jaane se. dikkat hame hain to hame shweta ko mods se baat karne ke liye kehna hoga na ki Mods ko majboor kare.
Waise zaruri nahi ki hamesha phal dene wale pedd jhukne wala muravara har jagah sidhh ho kyunki yedi swatantrata senaniyo ne agar iss prakar socha hota toh hum shayad aaj tak angrejo ke gulam hote![]()