J
jitendersingh
Guest
Arz Kiya Hai ...............................
har sahil ko kinara mat samjho,
har dost ko sahara mat samjho,
najar-najar me fark hai!
yaro, har najar ko ishara mat samjho...
Dil gumsum, zuban khamosh,
Yeh aankhen aaj num kyon hain,
Tujhe kabhi paya hi na tha,
to tujhe aaj khone ka gum kyon hain
talaash karo koi tumhe mil jayega,
magar humari tereh tumhe koun chahega,
zarur koi chahat ki nazaar se tumhe dekh le,
magar aakhein hamari kaha se layega
Jab bhi kisiko kareeb paya hai
Kasam khuda ki wahin dhoka khaya hai
Kyon dosh dete ho kaanton ko
Ye zakhm to humne phoolon se paya hai!!
Zindagi mohtaj nahin manzilon ki,
Waqt har manzil dikha deta hai..
Marta nahin hai koi kisi se juda hokar.
Waqt sab ko jeena sikha deta hai !!
Chandni raton me sara jahan sota hai,
Lekin kisi ki yaadon me koi budnaseeb rota hai,
khuda kisi ko mohabbat pe fida na kare,
agar kare to kisiko juda na kare...
Zamane se nahin,
Tanhayi se darte hain.
Pyar karne se nahin,
Rusvai se darte hain.
Milne ki umang to mujhe bhi hai,
Lekin teri judaai se darte hain.
Khudah se maine ek duva maangi,
Duva mein apni maut maangi,
Phir khudah ne kaha...
Maut to tujhe de doon par,
Usko kya kahoon jisne teri lambi umar maangi
har sahil ko kinara mat samjho,
har dost ko sahara mat samjho,
najar-najar me fark hai!
yaro, har najar ko ishara mat samjho...
Dil gumsum, zuban khamosh,
Yeh aankhen aaj num kyon hain,
Tujhe kabhi paya hi na tha,
to tujhe aaj khone ka gum kyon hain
talaash karo koi tumhe mil jayega,
magar humari tereh tumhe koun chahega,
zarur koi chahat ki nazaar se tumhe dekh le,
magar aakhein hamari kaha se layega
Jab bhi kisiko kareeb paya hai
Kasam khuda ki wahin dhoka khaya hai
Kyon dosh dete ho kaanton ko
Ye zakhm to humne phoolon se paya hai!!
Zindagi mohtaj nahin manzilon ki,
Waqt har manzil dikha deta hai..
Marta nahin hai koi kisi se juda hokar.
Waqt sab ko jeena sikha deta hai !!
Chandni raton me sara jahan sota hai,
Lekin kisi ki yaadon me koi budnaseeb rota hai,
khuda kisi ko mohabbat pe fida na kare,
agar kare to kisiko juda na kare...
Zamane se nahin,
Tanhayi se darte hain.
Pyar karne se nahin,
Rusvai se darte hain.
Milne ki umang to mujhe bhi hai,
Lekin teri judaai se darte hain.
Khudah se maine ek duva maangi,
Duva mein apni maut maangi,
Phir khudah ne kaha...
Maut to tujhe de doon par,
Usko kya kahoon jisne teri lambi umar maangi