rainuohlyan
New member
Eik pyar ka naghma hai, maujon ki rawani hai
Zindagi aur kuchh bhi nahin, teri meri kahani hai
Eik pyar ka naghma hai..
Tu dhaar hai nadiya ki, main tera kinara hun
Main tera sahara hun, tu mera sahara hai
Aakhon mein samandar hai, aashaon ka paani hai
Zindagi aur kuchh bhi nahin, teri meri kahani hai
Eik pyar ka naghma hai...
Toofan ko aana hai, aakar chale jaana hai
Jeevan ka matlab to, aana aur jaana hai
Do pal ke jeevan se, eik umra churani hai
Zindagi aur kuchh bhi nahin, teri meri kahani hai
Eik pyar ka naghma hai, Maujon ki rawaani hai
Zindagi aur kuchh bhi nahin teri meri kahani hai
Eik pyar ka naghma hai.