Meri Tukbandi

Status
Not open for further replies.
aaj toote dil ne kuchh is tarah gila kiya humse
har chot jo khai thi humne phir se ubhar aai hai
jab jab humne koshish ki unse wafa nibhane ki
unke dil ko tab tab kisi aur ki wafa raas aai hai

Wo bekraari woh tadap aur wo raaton ko jaagna
Ab kahte hain ki woh to bas dil ka shuroor tha ||
Unhe sapnon mein dikh gaya kis aur ka chehra
Hamaari mohabbat ka essme kya kusoor tha ||
 
Last edited:
After a long break!

Bahut dino ke baad aaj kuch kahne ko dil kar raha hai.....
Ummid karta hun aapko pasand aayega.

sab kuch mila hai magar fir bhi kuch kami si hai,
labon par muskan magar aankhon me nami si hai ।।
chalna hai zindagi, tune kaha tha chalte rahna,
kadam to uthte hain magar zindagi thami si hai ।।
sookhi nadi ko nahi hoti ummid sagar se milne ki,
tere jane ke baad meri bhi haalat kuch usi si hai ।।
soch ke chala tha teri yaad ko saath na launga me,
magar dil ke kone me "sahil" wo aaj bhi dabi si hai ।।
 
Ab to aa jao!

Ek aur pesh hai.....

sans thamne lagi, dhadkan bhi rukne lagi ab to aa jao,
toofan hai bhari, naiyya dagmagane lagi ab to aa jao ।।
sailaab aaya jo tere jane se utarne ka naam nahi leta,
in aansuon ki shaql me zindagi bahne lagi ab to aa jao ।।
kaash ke tujhe hoti khabar kis tarah gujarte hain din,
ye chandani raatein dil ko tarsane lagi ab to aa jao ।।
ab na shaam hoti hai, na sahar hi hoti hai mere ghar me,
roshni chiragon ki "sahil" ghar ko jalane lagi ab to aa jao ।।
 
More

Kuch aur lines pesh hain....

mujhe mat sunao baatein rangeen mausam ki "sahil",
mane to ghamon se rishta nibhane ki kasam khai hai ।।

tum ishq ki galion me abhi naye naye aaye ho,
yahan ke usoolon se wakif na hona achi baat nahi ।।


tere aane ki ummid me shama jalaye baithe hain,
tu aaye na aaye hum palken bichhaye baithe hain ।।
 
One more!

Zindagi ne jo kaha me wahi geet gata gaya,
me rota gaya aur jamana mujhe rulata gaya ।।
na mujhe fursat mili wafaye nibhane se yahan,
har koi mujhse bewafai ki rasme nibhata gaya ।।
me chalta gaya khushi ki talash me umrabhar,
aur ye ghamon ka saaya mere saath aata gaya ।।
na jane kiske liye jee raha hun aaj bhi "sahil",
waqt ka ek lamha mujhe ummid bandhata gaya ।।
 
Ummid......

tere aane ki ummid me shama jalaye baithe hain,
tu aaye na aaye hum palken bichhaye baithe hain
subah ke ujale ab mujhe raas nahi aayenge kabhi
raaton me teri yaadon ke chirag jalaye baithe hain
wada kiya tha tune aaoge ek din meri dunia me
isi wade pe zindagi ko aas bandhaye baithe hain
tujhe shikayat hai sapnon ke bikhar jane ki "sahil"
hum sapno ke sahare jahan ganwaye baithe hain
 
खुश रहे वो शायद जमाने भर की खुशियाँ पाकर
हम तो दुनिया का दर्द अपने दिल में छुपाये बैठे हैं ||

उनकी राहों के उजाले कभी कम न हो जाए
यही सोचकर आज हम अपना घर जलाए बैठे हैं ||


जमाने को तो नफरत है वफ़ा के नाम से ही
हम तो इन बेवफाओ से भी आस लगाए बैठे हैं ||


लोगो ने जाने कितने दिल जलाए होंगे मुफलिसी में
'विजय' तो ख़ुद अपनी चिता को आग लगाए बैठे हैं ||
 
........................

Rastay Mainna betho Hawa Tang Karay Gi....
Bichray Huwe Logon Ki Sada Tang Karay Gi.......
Mat Tut k Cahoo Kisi Ko agaz-e-safar Main.........
Bichray Ga To Har aik ada Tangkaray Gi...........
:):):)
 
Tanhai raas aane lagi hai mujhe.

तनहाई रास आने लगी है मुझे..


ये उनकी जुदाई पल पल रुलाने लगी है मुझे
तराने ग़म के ज़िन्दगी सुनाने लगी है मुझे
वो तो अब शायद आयेंगे नहीं लौटकर कभी
उनकी याद रोज आ के सताने लगी है मुझे
जब से उम्मीदों के दीये बुझने लगे हैं दिल में
ये तनहाई कुछ कुछ रास आने लगी है मुझे
उनके जाने का कुछ यूँ असर हुआ है "साहिल"
हर सांस जैसे मौत के पास लाने लगी है मुझे
 
तनहाई रास आने लगी है मुझे..


ये उनकी जुदाई पल पल रुलाने लगी है मुझे
तराने ग़म के ज़िन्दगी सुनाने लगी है मुझे
वो तो अब शायद आयेंगे नहीं लौटकर कभी
उनकी याद रोज आ के सताने लगी है मुझे
जब से उम्मीदों के दीये बुझने लगे हैं दिल में
ये तनहाई कुछ कुछ रास आने लगी है मुझे
उनके जाने का कुछ यूँ असर हुआ है "साहिल"
हर सांस जैसे मौत के पास लाने लगी है मुझे



मेरी ज़िन्दगी फ़िर से वापिस बुलाने लगी है मुझे
रोशनिय़ाँ अब अंधेरो में राह दिखाने लगी है मुझे ।
चाहे लाख मुखौटे लगा ले जमाना अपने चेहरों पर
इंसानो की असली सूरत नज़र आने लगी है मुझे ॥
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top