Naya Saal...

Status
Not open for further replies.

shobhitdeshwal

New member
Sabhi ko Ram Ram,

Eik kavita aane vaale saal ke naam....

Naye saal ka naya savera, nootan geet sajao..
naye aayamo ko dekho, mann me harshit ho jao...

Beete din ke aavarton me, apne dil ko mat uljhana...
Kya khoya hai, kya paya hai, yeh ginne me mat kho jana....

beete din, beete raatein, aur yeh eik poora saal beeta....
harshit raho, mann harshit ho, socho bas main jeeta....

Kisko kahun ke tune liya hai, kisko ki tune diya hai....
din badle teen sau paensath, sab dino ka karaya kiya hai....

sabko le ke saath chalunga, main is agle saal me....
khush rahunga, khush rakhunga, chae rahun kisi haal me....

Aap sabhi ko aane vaale varsh ki shubhkamnayein..... Aapke aivam aapke parivar ke liye yeh saal sabhi khushiyan le kar aaye... Aisi kaamna ke saath.....

Cheers!!

Shobhit Deshwal.
Naye saal ka naya savera, nootan geet sajao...
naye aayamo ko dekho, mann me harshit ho jao....
 
fabulous poem from Warrior Poet Deshwal :)
keep writin sucha heart warmin poems bro!
kudos to u!!

Naye saal ki hardik subhkamnayen!!

Rock on
Jit
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top